Islamic Blog

Allah ne Quran me farmaya “Ae Imaanwaalo tum woh baat kyu kehte ho jo tum karte nahi, tum jo karte nahi uska kehna Allah ko sakth na pasand hai” Surah As Saff Ayat no 2-3

Allah ke rasool (Sallalaahualaiwasallam) ko poocha gaya ki, kya Momin kanjoos ho sakta hai ? aap na kaha “Haa”, kya momin Budzil ya Kaayar ho sakta hai ? aapne kaha “haa”, Kya Momin Jhutha ho sakta hai ? Aap ne kaha “Nahi”, Momin kabhi jhutha nahi ho sakta. (Muwatta Malik Book 56, Hadith 19)

Allah ke rasool (Sallalaahualaiwasallam) ke paas ek shakhs aya aur kaha ki me 3 gunah karta hu logo se chuphkar,1) Sharab Peeta hu , 2) Zina (Fornication) karta hu 3) Jhuth bolta hu. Toh mujhe aap bataye ki me in teeno me se kya cheez chodh du, Aap ne kaha ki “Tum Jhuth bolna chodh do”, usne kaha ki thik hai aaj ke baad me jhuth nahi bolunga.

Jab wo aadmi Zina karne ke liya gaya to uske dimag me ye baat ayi ki kabhi Allah ke rasool ne mujhse ye sawal kiya ki kya tumne Zina kiya, to agar me sach kahunga to mujhe Saza milegi aur agar mene jhuth kaha to mene jo waada Allah ke rasool se kiya hai wo tut jaega aur us admi ne ye soch kar Zina se muh Pher liya aur yahi cheez hui jab wo Sharab peene ke liye gaya.

Aur is tarike se usne saari cheeze chodh di aur Allah ke rasool ke paas jakar kaha ki “Maine teeno gunah karna chodh diya ”

Jhuth har buri cheez ki jhad hoti hai aur ye hume dusre gunah ki taraf le jaati hai, Kufr karna bhi ek tarika ka jhuth hi hai jaha insan Allah ko chodh kar kisi aur ko apna Rab kehta hai, Ye Sabse bada jhuth hai.

Shortly translated in urdu/hindi from book “Gems & Jewels” by Abdul Malik Mujahid

 

Source : shukrannallah

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm