Islamic Blog

1- Sadqa fitr Farz he.

2-Sadqa fiter ada karne ka maqsad roze ki halat me hone wale gunaho, kotahiyan, mistakes se khud ko paak karna he.

3-Sadqa fiter Eid ki namaz se pehle ada karna chahiye warna aam sadqa shumar(count) ho ga.Hazrat Ibne Abbas se riwayet he ke Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya sadqa fiter , roze dar ko behudgi or fhash(buri, vulgar) baton se paak karne ke liye nez mohatajon or gareebon ke khane ka intezam karne ke liye farz kiya he. jis ne namaz-e-Eid se pehle ada kia is ka sadqa fiter ada ho gaya or jis ne namaz eid k baad ada kiya is ka sadaqa fiter aam sadqa shumar ho ga. Hadees Sahi Musnad Ahmed, Ibne Maja 1480.

4- Sadqa fiter ki miqdar ek saa he jo 2.5 kilo gram anaj ke baraber he.5-Sadqa fiter har musalman gulam ho ya azad, mard ho ya aurat, chota ho ya bada, roza dar ho ya gair roze dar ho saheb nisab ho ya na ho yaha tak ghar me 5 din ka chota bachcha bhi ho to us ka bhi sadqa fiter nikalna farz he.Hazrat Ibne umer se riwayet he k rasool Allah s.a.w.s. ne ramzan ka sadqa fiter ek saa khajoor ya ek saa jaw jo gulam , azad, mard aurat chote bade har musalman per farz kiya he. Sahi Bukhari wo muslim. baab kitabusz zakawt wo sadqa fiter.**Jis shaks k paas ek din or raat k khane k liye bhi kuch na ho us k liye sadqa fiter farz nahi baki sab k liye farz he

6- Sadqa fiter Galla(anaj) ki soorat me dena afzal he.
7-Gehu, chawal, jaw, khajoor , mewa , munaqqa ya paneer me se jo cheez zer istemal ho wahi deni chahiye.Hazrat abu saeed r.a. farmate he k hum sadqa fiter ek saa galla ya ek saa jaw ya ek saa khajoor ya ek saa paneer ya ek saa munaqqa(dry fruites) diya karte thy. Sahi Bukhari wo muslim.Sadqa fiter ki quantity ek saa yani hmare 2.5 kg k baraber he hum apni daily life style me jo quality k khane use karte hai hum ko usi k hisab se ada karna chahiye hamare yaha masjid ya jamat apne ilaqe k hisab se basic anaj gehu ya chawal ya jaw jo ziyada khaya jata he us ki miqdar se ek average money calculate kar likhte hai 40-50INR, 80-100 PAR, 15-20 Riyal or dirham jo minimum amount hota he per hmae chahiye k hum jo quality of food khate he us me weekly ya monthly me jo standerd food cunsume karte he usi hisab se ya use ziyada ada kare jaise koi ek time pe achcha 100-200 ya 50 to 70 riyal or dirhum k hisab ka consume karta he to use chahiye k usi hisab se per person ziyada se ziyada fitra nikale na jo ko masjid me declare kiya he minimum bas utna de

.8- Sadqa fiter ada karne ka waqt akhri roza iftar karne k baad shuru ho jata he lekin eid se 2 ya 3 din pehle bhi ada kiya ja sakta he.

9- Sadqa fiter ghar ke sarparast(head) ko ghar k tamam afrad biwi, bachcho or mulazim ki tarf se ada karna chahiye.Hazrat rafai r.a. se riwayet he k ibne Umer r.a. ghar k chote bade tamam afrad ki taraf se fitra dete thy hatta k mere beton(yani apne pote potiyon grand children) ki taraf se bhi dete thy or ibne Umer in logon ko dete jo qubool karte or eid se ek ya 2 din pehle dete thy. Sahi bukhari Kitabuz zakat.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)