Islamic Blog

1. Safar k Mahina ko Manhos Samjhna Sahi nahi he. (Bukhari, H#5707)
2. Rasool ALLAH Sallalaho Alaihiwasalam Ne irshad farmaya Ke “Beemari Mein CHHOOT CHHAAT Ko Man Na (Yain Beemari Kisi Ki Dosray Ko Lag Jana),Parinda Ura Kar Faal Lena, Uloo Ki Awaz Se Bad SHagooni Lena or”Safar Ko Manhoos Samajhna Fazool Or Laghwa (Yaani Bekar Be-Haqeeqat) Baatein Hein.”
(Sahi Bukhari, Jild 2, Page-857)
3. Rasool ALLAH Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya k ” Safar k Maheenay Mein Bad Shagooni Lena, Shaintani Girift Or Nahoosat k Asraat Koi Cheez Nahi Hein.” (Bukhari Shareef)
4. “Beemari, Shaitaani Girift, Sitaarun Ki Gardish Or Nahoosat Ka Safar k Maheenay Se Koi Talluq Nahi.” (Muslim Shareef)
NOTE : SAFARUL MUZAFFAR ke Mahine ko log Manhoos Jaante hain,
is main Shadi biyaah nahen karte, or bhi is Qism ke kaam karne se
parhez karte hain , or Safar karne se gurez karte hain khaas taur se
Shuroo SAFAR 13 Tareekhen bhut ziyadaManhoos mani jati hain
or un ko 13 tezi kehte hain , ye sab Jahalat ki baten hain .
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)