Islamic Blog

Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawabdo ya onhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allahtala har cheez ka Hisab lene wala hai.
(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.
(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)
*Salaam Karna Sunnat Hai.
*Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai. Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.
*Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha ” Assalamu Alaikum” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi Aaye aur kaha ” Assalamu Alaikum warahmatullah” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya ” Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh ” Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood).
(yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi muslim)
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu AlaihiWasallam ne Farmaya: “ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)
*Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .
* Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).
* Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).
*Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.
* Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.
* Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.
* Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq Hoga.
* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, BalkeGunah ka Bais Hai.
*Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k logSalaam karenge sunnat samajh kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen.
Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.
********{ Dua Qabool Na Hone ki Wajeh }********Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh, se kisi ne sawal kiya k hame kiya huwa k hamari dua qabool hi nahi hoti toHazrat Ibrahim Bin Adham ra ne Farmaya is liye k tumhare dil 10 cheezonki waje se murda ho chuke hai, Poochne wale ne pucha wo 10 cheezen kya hai? Hazrat Ibrahim Bin Adham rahmatullah alayh ne Farmaya.
1.Tum Allah ko pehchante ho magar us kiIta’at Nahi karte.
2.Tum Rasulullah sallaallahu alaihi wasallam ko pehchante ho magar un ki sunnaton ki itteb’aa nahi karte.
3.Tum Quran ko pehchante ho magar us per Aml Nahi karte.
4.Tum Allah ki naimaton ko khate ho magar Shukr ada nahi karte.
5.Tum jannat ko pehchante ho magar us ko Talab nahi karte.
6.Tum dozakh ko pehchante ho lekin tumus se door nahi bhagte.
7.Tum shaitan ko jante ho lekin us se ladte nahi ho bal k tum uski mushabihat, karte ho.
8.Tum mout ko jante ho lekin uski tayyari nahi karte.
9.Tum murdon ko dafan karte ho lekin tum un se Ibrat hasil nahi karte.
10.Tum Neend se bedar ho ker logon k uyoob daikhne me mashgool hojate ho aur apen uyoob ko bhool jate ho.

******{ Baat mein Baat 2 aur 3 aur 4 Cheezen }*******2 cheeze Iman ki Alamt hai: Musibat me Sabr krna, Nematon per shukr krna.

2 cheeze Sacchi dosti ki Alamat hai: Pareshani me sath dena, Hairani me naik Mashwera dena.

2 cheezon ko mt Bhoolo: Khuda ko, Mout ko.

2 cheezon ko Ganimat jano: Mout se pehle zindagi ko, Bimari se pehle sahet ko.

3 cheezen jaker waps nahi aasaktin: Gaya hua waqt, khoi huwi izzat, guzri hui umr.

3 cheezen himmat tod deti hai: Dushman, Qarz, bd mizaj Biwi.

3 cheezon ko koi Taqat nahi rok Sakti: Mout ko, Taqdeer ko, Waqt ko.

3 kaam Fazil tareen Aamal hai: Dusman ko dost banana, Jahel ko Taleem dilana, Fasiq ko Nasihat krna.

3 cheezen mo’jab Zillat hai: Dil me kina Rakhna, kisi se Hasad karna, Tulu Aftab k waqt sona.

3 cheezen 3 cheezon ko yaad dilate hai: Bimari tarndurusti ko, Garibi doulat ko, Takleef Rahat ko.

Umr 3 hisso me Munqasim hai: Bachpan, Jawani, Za’ifi.

4 cheezo ko Ikhtiyar krna chahiye: Khuda ki Ibadat, Achhi sirat, Doston ki Diljoi, logo k sath naiki.

4 cheeze sahebe dil ki Alamat hai: Gusse ko pi jana, kisi Shaksh k haq me Kalimaye kufr na kehna, kisi k dil ko Ranjida na karna, kisi k ayeb ko zaher na krna.

4 cheezo ko 4 cheezo se Nuqsan Pohnchata hai: Maal ko chor se, Shaoor ko Jihalat se, Ilm ko Garoor se, Muhabbat ko Qarz se.

4 cheeze 4 cheezon ko barbad kr deti hai: Na shukri nemat ko, Khairat doulat ko, Garoor Izzat ko, Jihalat Ilm ko.

******{ Dua k Chnd Aadab }******1. Paak-o-Saaf bawazu Qibla ru hoker Dua Mangna.
2. Dono hath sine k Samne Rakhna.
3. Dono hatho k drmiyan thoda Fasla Rakhna.
4. Ikhlas Aur Tawajjeh k sath chupke chupke dua mangna.(Sana padhne ki tarah).
5. Dil me ye yaqeen rkhna k Inshaallah Hamari dua zaroor Qabool hogi.
6. Dua k Awwal-o-Aakhir me Hamd-o- Sana Aur daroode sharif ka Ehtemam Rakhna.
7. Dua k baad dono hath chahre per Phairna.

********{ Rozana Quran ki Tilawat Karen }********Rasoole Akram sallaallahu alaihi wasallam ne Farmaya:
1. Tum me se behter wo shaksh hai jo Quran Majid ko sikhta aur sikhata hai.(Bukhari).
2. Jo Quran Majid ko khush alhafi se nahi padhta wo hum me se nahi (Bukhari).
3. Quran Padha karo kyun k Qayamat k roz ye apne Qari k liye “Shifarshi” ban kar aayega.(Muslim).
4. Jis k sine me kuch bhi Quran na ho wo aisa hai jaisa ujaad ghr.(Tirmizi).
————————– ——{ Quran}————————- ——-
Mujhe na bhoolna, Mere saath rehna, Apne dil mein rakhna, Mujhe yaad karna, Mujhe samjhna, Aur amal karna,kiu ke Qayamat ke roz tumhe meri zaroorat ho gi. Allah Tala ham sab ko Rozana Quran ki tilawat karne aur us ko samajh ker amal karne ki Toufeeq ata Farmaye Aameen.
————- Sukon Dhondta Phirta Tha Me Baharon Me,
————- Haseen Wadiyon Mei, Surmaye Nazaron Me,
————- Me Is Talash Mein Ja Phncha Chand Taron Main,
————- Magar Ye Mujhe Mila Quran K 30 Paron Mein.

******{ Irshadat-e-Nabi sallaallahu alaihi wasallam }******* Tum me sub se zyada mujhe wo log Mahboob hai jo tum me Akhlaq k lihaz se sub se acche hai.(Bukhari)

* Us zaat ki Qasam jis k hath me meri Jaan hai jo kuch mai janta hu agar tum jante to Rote zyada aur Haste kam.(Bukhari)

* Insan ko jo kuch ata hua hai us me sub se behter “Husne Akhlaq” hai.(Bahiqi)

* Taqwa aur Husne khalq k sabab Aksar log Jannat me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Zuban aur Shrmgah k sabab Aksar log Jahannam me Dakhil honge.(Tirmizi)

* Qayamt k roz momin ki mizan me jo sub se Wazni cheez rakhi jaye gi wo Husne Akhlaq hai.(Abuda’ud)

* Duniya mal’oon hai aur jo kuch duniya me hai wo bhi mal’oon hai.(ibe maja)

* Aye allah! Mai tujh se ilm-e-nafe Aml Maqbool aur Pakiza rizq ki Darkhwast karta hu.(ibne maja)

* Mere baad logon me sub se badh ker Fayaz wo shaksh hoga jis ne ilm hasil kiya phir use pehlaya.(Bahiqi)

* Jis shaksh k sath Allah Tala bhalai chahta hai use deen me Samajh ata Farmata hai.(Muslim)

* Jo koi Allah Tala se milne ko psnd karta hai to Allah Tala bhi us se milne ko psnd Farmate hai.(Bukhari)

* Jo shaksh Allah ki Mulaqat ko na psnd karta hai to Allah bhi us ki Mulaqat ko na psnd karta hai.(Bukhari)

* Sub se behter islam us shaksh ka hai jiski zaban aur hath se Muslman mahfooz rahe.(Ahmed)

* Allah Tala duniya to us ko bhi deta hai jis se Mohabbat Farmata hai aur us ko bhi jis se Mohabbat nahi Farmata.(Bahiqi)

* Allah Tala deen sirf usi ko ata karta hai jis se use Mohabbat hoti hai.(Bahiqi)

* Burai k baad Naiki karlo ta k Naiki burai ko mitade.(Tirmizi)

* Bokhl haya aur Iman dono kisi bande k Dil me bhi jama Nahi honge.(Nasai)

* Jub koi cheez tumhare dil me Tard’dud paida kare to use Chhod do.(Ahmed)

* Naiki kar k jis ko khushi ho aur Burai kark jis ko Gam aur Pachtawa ho to wo Momin hai.(Alhakim)

*{ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k 10 Faseeh-o-Baleeg Aur Jam’e Farmudaat }*1. Momino ki aik Doosre se Mohabbat, Aik doosre per Rahem Aur aik doosre se Shafaqqat ki Misal Insani Jism ki si Hai, Jub is k Kisi aik A’azu ko Takleef ho to Pura Jism be Aarami aur Bukhar me Mubtela hota hai. (Sahi Muslim)

2.Iman me Kamil Tareen momin wo Hai jo un me Akhlaq me Sub se Accha ho, Aur tum me se Bahtareen wo hai jo Apni Biwiyo me Bahtareen ho.(Tirmizi)

3. Tum me se koi Us waqt tak Momin nahi ho Sakta Jub tak k wo Apne Bhai k liye Wahi Pasnd na kare jo Apne liye Pasnd karta Hai.(Sahi Bukhari)

4. Rahem karne walon per Rahman Rahem karta Hai, Tum Zameen Walon per Rahem karo, Tum per Aasman Wala Rahem Karega.(Tirmizi)

5. Apne Musalman Bhai ko Daikh ker Tera Muskura dena bhi Teri taraf se Sadqa hai.(Tirmizi) 6. Aur har Acchi Baat Sadqa hai.(Sahi Muslim)

7. Jo Shaks Allah aur Yaoum Aakhirat per Iman Rakhta Hai usae Chahiye k Apne Hamsaye se Accha Salook Karen. (Sahi Muslim)

8. Allah Tumhare Jismon aur Tumhari Surton ko Nahi daikhta bal k wo Tumhare Dilon ko daikhta hai.(Sahi Muslim)

9. Mazdoor ko us ki Ujrat, us ka Pasina Khushk hone se Pahle do.(sanan Ibne Maja)

10. Aik Shaks safar Karraha tha, Raste me use Shadeed pyas Lagi to us ne Aik kunwa Paya, wo us me Utra aur Pani piya, Phir jub wo Baher Nikla to daikha k aik kutta Haanp raha hai, aur Pyas k Mare Mitti chat raha hai, us Shaks ne Dil me kaha: us Kutte ko wiase hi pyas Lagi Jaisi mujhe Lagi thi, Tub wo Kunwe me utra aur Apna Mozah (chamde ki Jarab) Pani se Bhara, Phir us ne mozah apne Muh me Thama Hatta k wo Kunwe se Nikal Aaya, so Us ne Kutte ko Pani Pilaya, Phir Allah tala ne us ki Ye Naiki Qabool ki Aur use Baksh diya, Sahaba R.A ne Kaha: Aye Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Kya un Janwaron k bare me bhi Hamare liye Ajr hai? Aap ne Farmaya: Har Jandar k bare me Ajr Hai. (Sahi Muslim)

———————{ Waldain Ke Huqooq}———————-ALLAH TALA KA Irshaad hai Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono , To Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke
*Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala…

Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta,
Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Keliye Qud Apni Neend Qurbaan Kardi….

Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana TalahNe Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn SulukAur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai, Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par,
Maal Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo, Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Qidmat karo, Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo, Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain,
Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge , Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain IsiTarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge, Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki KhushiLenge {insha Allah } Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski AulaadBhi Usski Qidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge ……..

★ Jo Jahez k liye Shadi karte Hain, wo Apne aap se puchain kya Shadi se pehle sasural k diye pe Guzar basar karte the.“Mat bhooliye aap bhi kisi bahen k bhai hain, Dunya hai pyaroo Jaisa karoge waisa bharoge”.

Agar aaj aap kisi ki Bahen ko Izzat daingeto kal koi Aap ki bahen ko Izzat dega. Kaash k tere dil main utar jaye meri baat.

★ Jo Jahez o Jode ki Raqam leta ho Main nai Samajhto k us shaksh ki Izzat Na us k Biwi k Dil main rahegi na Sasural walo k kyun k Ladki ko pata hai k us k walid ne kitni mehnat se paisa jama kiya tha is Faqeer ko dene k liye, Na Biwi k dil main izzat na Sasural walo k dil main Mohabbat…. Baat sahi hai na??

************{ Sadqa ki Fazilat}*************Sadqa Jub Apne Malik k Hath se Nikalta hai to us Waqt 5 Jumle Kahta Hai:
1. Mai Fani Maal tha, tu ne Mujhe baqa Dedi.
2. Mai Tera Dushman tha, ab tu ne Mujhe dost Banaliya.
3. Aaj se Pahle tu meri Hifazat karta tha ab mai Teri Hifazat karunga.
4. Mai Haqeer tha tu ne Mujhe Azeem bana Diya.
5. Pahle mai Tere hath me tha, ab mai Khuda k Hath me Hun.

—— Jab Tum Duniya ki Muflisi se tang aa jao aur Rizaq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa de ker Allah se Tijarat kiya karo.(Hazrat Ali R.A)

—— Har Acchi Baat ko Doosron tak Pohchana bhi Sadqa Hai.

♥ Aik Nojawan ki shadi hoti hai wo Apne Walid k paas jata hai k wo us k is Naye Azdwaje Safar k liye barkat ki dua kare, Jab wo apne Walid k paas jata hai us ka Walid us se aik Kagaz aur Qalam Maangta hai.
Ladka shadeed hairangi k sath jata hai aur Matluba cheeze lekar aajata hai aur apne Baap k paas baith jata hai…..Baap: Likho….Kya likhu??
Jo ji main chahe likho, Nojawan aik jumla likhta hai.
Baap kehta hai: Isai mitado , Nojawan mita deta hai.
Baap: Likho…Beta: Khudara aap kya chaahte hain?
Baap kehta hai: Likho… Nojawan phir likhta hai….Baap kehta hai. Isai Mitado. Baap kehta hai likho, Nojawan kehta hai: Allah k liye mujhe batayen k ye sab kuch kya hai, Baap kehta hai:
Likho, Nojawan likhta hai, Baap kehta hai mitado Ladka mitadeta hai.♥ Phir baap us ki taraf daikhta hai aur usai thapki dete hue kehta hai,
Beta! Shadi k baad Eraser ki Zarurat hoti hai Agar azdwaji zindagi main tumhare pas Rabar nahi hoga jis se tum apni Biwi ki galatiya aur kotahiya mita aur muaaf karsako, Aur isi tarah agar Tumhari Biwi k paas Eraser na hua jis se wo tumhari galatiya aur na pasndida batain mita sake, “Agar ye sab kuch na hua to tum apni Azdwaje zindagi ka safa chand dino main kala karloge”.

♥ ♥ Aik Doosre se Muqable ki Bajaye Maslihat se Kaam Lain ♥ ♥

★ (Aye Nabi!) Aap Momin mardon se kehdijiye k wo Apni nazren nichi rakhen.(Qur’an 24:30)
★ Aur Aap Momin Aourto se keh dijiye k wo Apni Nazren nichi Rakhe.(Qur’an 24:31)
♥ Agar Hamari Buri Nazar se Doosron ki Maa, Bahen, Beti Mahfooz hai
To Yaqeenan Hamari Maa, Bahen, Beti bhi Doosron ki Buri Nazar se Mahfooz rahen gi.
Narrated Sahl bin Sa’d: Allah’s Apostle said, “Whoever can guarantee (the chastity of) what is between his two jaw-bones and what is between his two legs (i.e. his tongue and his private parts), I guarantee Paradise for him.” [Hadith-Sahih Bukhari :: Volume 8 :: Book 76 :: No 481]

Gour kijiyega……..!

Jab koi ladki date par ya tanhayi main kisiladke k sath milti hai to chahe wo us ko bayan kare ya na kare lekin Ladke k zahen main ye baat zaroor Aati hai k…
Jo Ladki apne Maa, Baap, Bahen, Bhayyonki izzat ki parwa nahi kar sakti jin k sath us ka khoon ka rishta hai to wo meri izzat ki paasdari kya karegi, Ladka aisi ladki ko date par to zaroor lejayega Magar jab shadi ki baat aayegi to wo paakizah kirdar ladki ka hi intekhab karega.

⇨ “Women impure are for men impure, and men impure for women impure and women of purity are for men of purity, and men of purity are for women of purity: these are not affected by what people say: for them there is forgiveness, and a provision honourable.(Qur’an 24:26)

…………..✿……… Zaroori Guzarish………✿…………..Islam Nikah se Pehle ISHQ ki isliye mazammat karta hai ta k Insan apni saari Mohabbate us k liye Bacha k rakhe jo un ka asal Haqdar hai.
Shadi se pehle ki mohabbat aise hai jaiseIftari se pehle koi iftar karle Iftar ka mazah bhi na raha, Gunah ka murtakib bhi hua, Kaffara ka kharcha bhi,aur Saza ka dhadka bhi raha.
Agar baat thodi si bhi samajh Aayi ho to doston se share Zaroor Karen.
Khaas tor par aisi modern nasal ko jo khud ko bahot padha likha samajhte hai.
————————– ————————
⇨ “And among His Signs is this, that He created for you wives from among yourselves, that you may find repose in them, and He has put between you affection and mercy. Verily, in that are indeed signs for a people who reflect”. (Qur’an 30:21)

“When a husband and wife look at each other with Love, Allah looks at both with Mercy”.[Bukhari 6:19 & Tirmidhi 14:7].

♥ ๑۩๑ ♥ Dilchasp Kahani Hain ★ Zaroor Padhiyega ♥ ๑۩๑ ♥
♥ ๑۩๑ ♥ Aur Aap bhi Aisa karne ki Koshish kijiyega ♥ ๑۩๑ ♥

Aik Aadmi Office se apne ghar aaya us nedaikha k ghar ka sara saaman bikhra pada hai Bacche Trousers main phir rahehain na Baal banaye hue hain na Muh dhula hua hai andar se Bahar tak usai Badi hairat hui, Jab Andar gaya to Biwi koNovel Padhte daikh kar hairan reh gaya us ne pucha ye sab kya hai??
To Biwi ne Jawab diya ye sab wo hai jo Aap roz kehte hain k “Aakhir tum sara dinkarti kya ho”? Aaj Main ne wo sab Nahi kiya Aaj aap k samne hai k mai kya karti hun, ye aik sabaq hai un Shoharon k liye jo apni Biwiyon ki Qadar nahi karte, Aap se ilteja hai k Apni Biwiyon ki Qadar kijiye Aap inhain Ehsas dilwayen k Aap un ka khayal rakhte hain, un ki Qadar karte hain, un ki Izzat karte hain, aur sab se Badh kar un se Mohabbat karte hain.
★ Karenge na Sab ★•.•´¯`•.•★ I N S H A A L L A H ★•.•´¯`•.•★

……..✿……. Acche Dost ki Pechan Kya Hai?…….✿……..★ Jo tujhe burayi se roke aur Naiki ki taraf ragib kare to Jaan le k wo aik Acchadost hai.

๑۩๑ Aur Acche Dost main Chaar khubiya hoti hain ๑۩๑
♥ Zaheen hota hai.
♥ Mukhlis hota hai.
♥ Hamdard hota hai.
♥ Naiki ki talqeen karta hai burayi se Mana karta hai.

★ Jis Main ye chaaro khubiya hon wo AikBehtareen dost hai, Agar Aap main koi Khami ho to wo Aap ko Alaahedgi main Aagah karde ta k Aap ko sab k saamne Sharminda na hona pade.

⇨ “The believers, men and women, are Auliya’ (helpers, supporters, friends, protectors) of one another, they enjoin (on the people) Al-Ma’ruf (i.e. Islamic Monotheism and all that Islam orders one to do), and forbid (people) from Al-Munkar (i.e. polytheism and disbelief of all kinds, and all that Islam has forbidden); they perform As-Salat (Iqamat-as-Salat) and give the Zakat, andobey Allah and His Messenger. Allah will have His Mercy on them. Surely Allah is All-Mighty, All-Wise”. Allah has promised to the believers -men and women, – Gardens under which rivers flow to dwelltherein forever, and beautiful mansions in Gardens of ‘Adn (Eden Paradise). But the greatest bliss is the Good Pleasure ofAllah. That is the supreme success. (Qur’an 9:71-72)

Dunya ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Walidain
♥ Dana Dost
♥ Naik Biwi
♥ Naik Aoulad.
Aakhirat ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sadqah
♥ Huqooqul Ibad
♥ Taqwa
♥ Ilm.
Jism ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Km bolna
♥ Km khana
♥ Km sona
♥ Km hasna.
Dil ki Zeenat Chaar Cheezen Hain
♥ Sabr
♥ Zikr
♥ Shukr
♥ Gour o Fikr.
Iman ki Zeenat Chaar Cheeze Hain
♥ Haya
♥ Pakeezgi
♥ Sacchayi
♥ Adl (Insaf).

Allah Ham sab ko Har Zeenat se Aarasta Farmaye Aameen. Ya Allah Ham Sab ko sirf Nasihat karne wala Nahi Aml karne Wala Musalman Banade.
★•.•´¯`•.•★ A A M E E N ★•.•´¯`•.•★

★ Baccha School na jaye to Maarte Hain,
★ Masjid na Jayen to koi Baat Nahin [:'(].
★ English seekhne na jaye to Maarte Hain,
★ Qur’an paak na padhain to koi baat nahi [:'(].
★ Sikhaya A for Apple,
★ Na sikhaya A for Allah [:'(].
★ Sikhaya B for Ball,
★ Na sikhaya B for Bismillah [:'(].
★ Kisi Actor ki Naqal kare to khush hote hain,
★ Nabi ki sunnat par aml kare to Mazakhudate hai. [:'(].
⇨ “Then where are you heading”?…….. (Qur’an 81:26).♥ ๑۩๑ ♥ Baat Main Baat ♥ ๑۩๑ ♥

★ Acchi baat to sabko acchi lagti hai jb tumhe kisi ki buri baat bhi buri na lage to samaj lena tumhe usse MOHABBAT hai.
★ Tajurba insaan ko galat faisle se bachata hai. Magar Tajurba galat faisle se hi hasil hota hai.
★ Izzat dil me honi chahiye lafzon me nahi. Narazgi lafzon me honi chahiye dil me nahi.
★ Khush naseeb wo nahi jis ka naseeb acha hai. Balke khush naseeb wo hai jo apne naseeb par khush hai……..:-) ♥

♥ In Baton par Aml karlain InshaAllah Zindagi Aasan Hojayegi ♥

★ Dunya ki Cheezain milne par khush na hon.
★ Dunya ki Cheez main nuqsan hojaye toranj na karain.
★ Deen ka kaam karte hue koi tareef kare to khush na hon.
★ Deen ka kaam karte hue koi bura kahe to ranj na Karain.
★ Allah Tala k Alawa kisi se koi ummeed na rakhain.
★ Kisi k sath bhi bhalayi karain to Faqt Allah Tala ki raza k liye.
★ Koi bhi khuahesh puri na hone par us main apni behtari talash karain.
★ Har insan se khush gumani rakhain, aur kisi ki baat sun kar kisi se talluqat kharab na kare, bal k khud baat kar k galat fehmi ko door karain.
★ Khushi ka waqt ho ya gham ka, yahi sochiye k Aarzi hai Guzar jayega Aur
★•.•´¯`•.•★ Aakhirat ki Zindagi na Khatam hone wali hai. ★•.•´¯`•.•★

…✿… Behtareen Insan Aamal Se Pehchana Jata Hai Warna …✿…
…✿…… Acchi Baten To Diwaron Par Bhi Likhi Hoti Hain ……✿…
⇨ Dunya k liye itni Mehnat kar jitna tujhe yaha rahna hai.
⇨ Aakhirat k liye itni Mehnat kar jitna tujhe wahan rahna hai.
⇨ Allah ki Raza k liye itni koshish kar jitna tu us ka mohtaj hai.
⇨ Gunah itna kar jitna tujh me Azab sehne ki taqat hai.
⇨ Sirf usi Zaat se mang jo doosron ki mohtaj nahi hai.
⇨ Jab tu Allah ki nafarmani kare to wahaja jahan wo tujhe na Daikhe.
Rozana raat ko sone se Qabl apne Gunahon ki muaafi Mang kar sone ki Aadat banalen, Aur Rozana sone se Qabl is baat ka Muhaseba Karen k Aaj din ko Aap k Acche Aamal Zyada the ya Bure???
★ Aap jab bhi koi Islami post padhe to dil me Aml ki Niyyat zaroor kiya Karen PlzAur ye dua Manga Karen k Allah paak mujhe Hidayat den, Naik Aml ki Toufeeq den aur sidhe raste par qayem rakh, Aameen, Yaad Rakhiye Hidayat bhi Unhi ko milti hai jo Hidayat Pana Chahte hon.
★ Aasman par udte huwe parinde se kisi ne pucha “Kya tumhain zameen pargirne ka dar nahi?” us ne muskurakar jawab diya “Main Insan nahi jo zara si Bulandi par ja kar Akad jaon nazrain merizameen par hi hoti hain”.
⇨ “Turn not thy cheek in scorn toward folk, nor walk with pertness in the land. Lo! Allah loveth not each braggart boaster. Be modest in thy bearing and subdue thy voice. Lo! the harshest of all voices is the voice of the ass”. (Qur’an 31:18-19)
Ibn Masud (RA) said: The Prophet (peace be upon him) said: “The haughty, even with pride equal to a mustard seed in hisheart, will not enter jannah.”
Source:http://islaamisbest.blogspot.com/2014/01/salaam-quran-o-hadees-ki-raoshni-me.html
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)