Salam ka sahi tarika Asalam.o.Alikom means “Tum par salamti ho”
Please Sirf “SALAM” Ya fir Message me A.O.A , WSLAM na likhe balke jo alfaje sunnat he wahi kaha kre.
Rules 1 :
Say : Assalam o Alaikum
Reply : Walekum assalam
Fazilat : Apke aamal name me 10 neki likhi jayegi.
Rules 2 :
Say: Assalam o Alaikum Warahmatullah
Reply : Walekum assalam Warahmatullah
Fazilat : Apke aamal name me 20 neki likhi jayegi.
Rules 3 :
Say: Assalam o Alaikum Warahmatullahe Wabarakaatu
Reply : Walekum assalam Warahmatullah Wabarakaatu
Fazilat : Apke aamal name me 30 neki likhi jayegi.
Salam ka sahi tarika Asalam.o.Alikom means”Tum par salamti ho”
Salam karny ka galat tarika
1)Asamu Alikom (tum ko mot aye) 2)Asama Alikom (tum khushi ko tarso) 3)sama Alikom (Tum barbad ho) 4)salama Alikom (tum par lanat ho).
Detail Description of Do Slam:
“Assalam o Alaikum” kahe & isse behtar “Warahmatullah” Milaana & sub se Behtar “Wabarakaatu” shamil karna aur is se zyada nahi. Phir Salaam karne waley ne jitne Alfaaz mein Salaam kiya, jawab Mein Itne Ka Aada zaroor kare, aur Afzal yeh hai k Jawab mein kahe:Isne “Assalam o Alaikum” kaha to aap kahein “Walekum assalam” & agar isne kaha
“Assalam o Alaikum Warahmatullah ” to yeh kahe “Walekum assalam Warahmatullah”
kahe, aur agar Salaam karne waley ne “Assalam o Alaikum Warahmatullahe Wabarakaatu” kaha to aap bhi yeh kahey “Walekum assalam Warahmatullah Wabarakaatu.
ek dusre ko salam kiya karo, salam mein pahal karne wala ghamand
(gurur) se paak hota hai. Isliye kisi dusre ke salam karne ka intezaar
na karo, balke pahle khud aage hokar salam karo.
matlab agar jawab na diya to gunah hoga. Ek momin ko dusre momin ko
salam karna chahiye, aur sunne wale ko jawab dena chahiye. Lekin ek
paraya mard ek parai aurat ko salam na kare.
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021