Islamic Blog

Salat O Tasbeeh Ki Fazilat

Hazrat Abdulullah Ibn e Abbas radiyallahu Anhu Se
Riwayat He Ke
Rasul Allah Sallallahu Alayhi Wasallam Ne
Ek Din Apne Chacha
Hazrat Abbas radiyallahu Anhu Se Farmaya Ke
Aye Chacha Kya Me Aap Ki Khidmat Me Ek Qimti Hadiya«gift» Na Pesh Karu??????
Kiya Me Aap Ke 10 KAAM Na Karu????? Or
Wo Amal Aisa He Ke Jis Se Allah Aap Ke Sare Gunah Maaf Farma Dega
1, Agle Sab Gunaah
2, Pichle Sab Gunaah
3, Purane Gunaah
4, Naye Sab Gunaah
5, Bhul Se Huwe Sab Gunaah
6, Jan Bujh Kar Kiye Gaye Sab Gunaah
7, Chote Gunaah
8, Bare Gunaah
9, Chup Kar Kiye Gaye Gunaah
10, Sab Ke Samne Kiye Gaye Gunaah
Sab Ke Sab Gunah Allah Is
Amal Se MaaF Farma Dega Phir
AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne
Wo Amal Bataya Ke Aap 4 Rakat Nafl Ki Niyyat Bandho
«Puri Namaz Ki Tarkeeb Batlai Ke Har Rakat Me 75
Martaba Tisra«3» KALMA Parhe Yani 4 Rakat Me 300
Martaba Hona Chahiye»

Is Ke Baad AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Ne Farmaya Ke
Chacha Agar Ho Sake To Rozana Ye Namaz Parhna
Warna Hafta[week] Me Ek Martaba Ya Mahine Me Ek
Martaba Ya Saal Me Ya Zindagi Me Ek Martaba Zaroor
Parhna

Reference [ Abu Dawood, Ibn e Maja ]

Ramzaan Ke Aakhri Dino Me Is Namaaz Ko Zaroor Parhe

Allah Amal Ki Taufeeq De

AAMIN SUMMA AAMIN

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)