Islamic Blog

HUZOOR E AKRAM ﷺ ne apne chacha hazrat abbas رضي الله عنه ko is namaz ki targheeb farmayi, is namaz k padhne se ALLAH TA’ALA padhne waley k agley pichle, naye puraney, ghalti se aur jaan boojh kar kiye huye chote badey aur zahiri aur poshida sab gunah bakshdega

Aur HUZOOR E AKRAM ﷺ ne inhey farmaya k agar har roz ek baar padh sakey to har roz padhle aur agar har roz nahi padh sakey to har jumu’a me ek martaba padhle aur agar har jumu’a me bhi na padh sakey to har mahine me ek baar padhley aur agar ye bhi na kar sakey to har saal me ek martaba padhley aur agar ye bhi na kar sakey to tamaam umr me ek dafa padhley.
📚 (ABU DAWOOD, IBNE HAKI, IBNE MAAJA)

TARIQA:
Is namaz ki tasbeeh, سبحان الله والحمدلله ولااله الاالله والله اكبر.

Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat se chaar rakaat ek salaam se padhey.

Sana padhne k baad اعوذ بالله من الشیطان الرجیم aur بسم الله الرحمن الرحيم se pehle 15 martaba tasbeeh padhey (jo upar di gayi hai).

Ab SURAH FATEHA AUR KOI BHI SURAH padhne k baad yahi tasbeeh 10 martaba padhey, phir takbeer ALLAHU AKBAR kehte huye ruku me jaye aur ruku me سبحان ربى العظيم kam az kam 3 martaba padhne k baad 10 martaba tasbeeh padhey.

Ab ruku se khade hokar سمع الله لمن حمدة, ربنا لك الحمد keh lene k baad phir yahi tasbeeh 10 martaba padhey.

Sajde me سبحان ربى الاعلى kam az kam 3 martaba padhne k baad yahi tasbeeh 10 martaba padhey aur sajde k baad jalse me yaani khaedey me baethne per 10 martaba padhey phir sajde me jaye tab bhi 10 martaba padhey, is tarah ye tasbeeh 1 rakaat me 75 martaba padhi jayegi.

Isi tarah har rakaat me ye tasbeeh 75 martaba padhte jaye, yaad rahe k SUREH FATEHA se pehle ye tasbeeh 15 martaba padhni hai aur baqi har rukun me 10 martaba padhni hai lekin tashahud padhne k liye jab baethe tab ye tasbeeh nahi padhi jayegi.

Ye tasbeeh 4 rakaat me 300 martaba padhi jayegi.

NOTE:-
🏮 AFZAL HAI K IN SABHI IBADATO SE BADHKAR APKI FARZ NAMAZEY HAIN JO AB TAK KI KHAZA HOGAYI HAIN WO PADHEY K MARNE K BAAD FARZ NAMAZ KA SAWAAL HOGA NA K NAWAFIL KA SAWAAL HOGA

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)