Islamic Blog

सलातुत तस्‍बीह Salatul Tasbih की नीयत

सबसे पहले Salatul Tasbih की नियत करें (चार रकअत एक सलाम से)

Niyat in Hindi:
नीयत की मैंने 4 रकअत Salatul Tasbih, वास्‍ते अल्‍लाह तआला के, मुंह मेरा काबा शरीफ़ की तरफ़।

Niyat in Urdu:
نیت کی میں نے چار رکعت صلوٰۃ التسبیح کی، واسطے اللہ تعالیٰ کے منھ میرا کعبہ شریف کی طرف۔

Niyat in Arabic:
نَوَايْتُ اَنْ اُصَلِّىَ لِلَّهِ تَعَالَى ارْبَعَ رَكَعَاتِ صَلَوةِ التَّسْبِيْحِ سُنَّةُ رَسُوْلِ اللَّهِ تَعَالَى مُتَوَجِّهًا اِلَى جِهَةِ الْكَعْبَةِ الشَّرِيْفَةِ اَللَّهُ اَكْبَرُ

 

Is namaz ki fazilat hadeeson me bohat aai hai, Rasool Allah s.a.w.s. Ne apne chacha Hazrat Abbas Razialla tala anho se farmaya” ay chacha kiya main tumhen ek baat bataon?

Kiya main tumhen aisi cheez ki khaber na du k jab tum ise kar lo to tumhare 10 tarh k gunah yani agle or pichle, nai purane, qasadan sahuan, sagira kabira, zahira poshida gunah mit jai.

Woh yeh hai k 4 rikaten is tarh padho k har rikat me sure fatiha or is k elawa koi surat padho, jab tum pehli rikat ki qirat se farig ho jao to ruku karne se pehle khade khade(niyat bandhe huai)

15 martaba ye padho “subhanalla hi Walhumdulillahi wala ilaha illal la hu wallahu akbar” (translation: pak hai sab tareef Allah k liye hai or nahi koi mabood magar Allah, Allah bohat bada hai) fir ruku main jao

or 10 dafa yahi kalmat padho nihayat hi khushu or khusu(yani bohat dhiyan se araam se) k saath kaho. Fir ruku se sar uthao or qawma(ruku se uthne or sajde me jane se pehle ) me bhi 10 martaba yahi kalmat padho,

fir sajde main jao or is me bhi yahi kalmat 10 martaba kaho, sajde se uth kar jab Jalse (do sajde k beech me baithne k waqfe ko kehte hai) k liye baitho to yahi kalmat 10 martaba padho,

ab doosre sajde main jao to yahi kalmat 10 martaba kaho or sajde se uth kar jalsa isterahat me bhi yahi kalmat 10 martaba kaho, ab 1 rikat hui aur is me 75 martaba “subhanalla hi Walhumdulillahi wala ilaha illal la hu wallahu akbar” tum ne kaha, isi tarah 4 rikaten poori karo or

har rikat me 75, 75 dafa padho.(yeh namaz) ager tum se ho sake to din me ek dafa yeh namaz padho warna har Juma ko ek dafa padho or ager yeh bhi na ho sake to saal me ek baar or jab yeh bhi na ho sake to zindagi me ek martaba padho” hadees ki sanad Hasan hai, sunan abi dawood, chapter kitabut tatu ,baab salatus tasbih hadees no. 1294. ibne maja kitab iqamus salath bab fi saltus tasbih, raqm1384, is hadees ko Hafiz ibne hajar, datqutni ne sahi qarar diya hai.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)