Islamic Blog

HIQAYAT
**********
Baadshah Kisra Ne Apne Bete Keliye Ek Ustaad Mukarrar Kiya Jo Use Taalim Deta Tha Aur Adab Sikhata Tha, Jab Wo Baccha Mukammal Taurper Ilm Wa Fazl Se Maala Maal Hogaya To Ustaad Ne Use Bulaya Aur Bagair Kisi Zurm Aur Bagair Kisi Sabab Ke Use Intehayi Dardnaak Saza Di Us Ladke Ne Apne Ustaad Ke Is Rawaiyye Ko Bahoat Bura Samjha Aur Dil May Uski Taraf Se Adawat Paida Hogayi, Yahan Tak Ki Wo Jawaan Hogaya, Uska Baap Margaya Aur Baap Ke Baad Wo Baadshah Bangaya!
Baadshahi Sambhalte Hi Usne Ustaad Ko Bulaker Pucha Aapne Fala Din Bagair Kisi Zurm Aur Bagair Kisi Sabab Mujhe Intehayi Dardnaak Saza Kyon Di Thi?
Ustaad Ne Kaha Aye Baadshah! Jab Tu Ilm Wa Fazl Ke Kamaal Tak Pahoch Gaya To Mujhe Malum Hogaya Ki Baap Ke Baad Tu Baadshah Banega, Maine Socha Tujhe Saza Ka Zaika (Lazzat) Aur Zulm Ki Taklif Se Muafiq Kerdoon Taaki Tu Uske Baad Kisi Per Zulm Na Kare, Baadshah Ne Kaha, ALLAH-TA’AALA Aapko Jaza-A-Khair De Aur Fir Unka Wazifa Mukarrar Kerdiya Aur Unke Kharche Ki Adaayegi Ka Hukm Jaari Kerdiya!

(Mukashfatul Kulub, Pg-356)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm