Islamic Blog

Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ki mehman nawazi -SubhanAllah
——–

Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ke aazad karda gulam Aflah rivayat karte hain ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam jab unke ghar tashreef laye to Aap salallahu alaihi wasallam neeche ke kamre mein rahe aur Abu ayyub ansari radi allahu anhu upar ke kamre mein , ek baar Abu ayyub raat ko jaage aur kaha ki hum Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke sir ke upar chala karte hain , phir hat kar raat ko hi ek kone mein ho gaye aur wahi raat guzari , uske baad Abu Ayyub ansari radi allahu anhu ne Aap sal-allahu alahi wasallam ko upar jaane ke liye kaha to Aapne farmaya ki neeche ka kamra bhi aaram ka hai to Abu ayyub ansari radi allahu anhu ne kaha main us chat (ya kamre) mein nahi rah sakta jiske neeche Aap Sal-Allahau alaihi wasallam hon (kyunki ye gustakhi hogi) ye sunkar Aap Sallallahu alaihi wasallam upar ke kamre mein tashreef e gaye aur Abu ayyub ansari neeche wale kamre mein rahne lage.

Abu Ayyub Radi allahu anhu Rasool-Allah Sal-allahu Alaihi wasllam ke liye khana tayyar karte they phir jab Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam usmein se khaa lete aur bacha hua khana wapas jata to Abu Ayyub Ansari aadmi se puchte Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki ungliyan khane mein kaunsi jagah lagi huyee hain aur wo wahi se barkat ke liye khate.

Ek baar Abu ayyub radi allahu anhu ne khana pakaya jismein lahsun tha jab khana wapas gaya to abu ayyb ne pucha ki Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasllam ki ungliyan kaunsi jagah lagi hain logon ne kaha ki Aap sal-allahu alaihi wasallam ne nahi khaya ye sunkar Abu ayyub ghabra gaye aur upar gaye aur pucha ki kya Lahsun haram hai to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya nahi lekin mujhe bura malum hota hai Abu ayyub ne kaha jo cheez aapko bura malum hoti hai mujhe bhi buri lagti hai Abu ayyub ne kaha Rasool-Allah sal-allahu alaihi wasallam ke paas farishte aate aur farishto ko lahsun ki boo se takleef hoti hai isliye aap sal-allahu alaihi wasallam nahi khate
Sahih Muslim, Jild 5 , 5358

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm