Islamic Blog

1-Sehri khane me barkat he.
2-Neend se uth jane k baad jan bojh k sehri nahi chohdni chahiye.
Hazrat Anas r.a. se riwayet hai rasool Allah s.a.w.s ne farmaya”sehri khao sehri khane me barkat hai”Sahi Bukhari wo Muslim kitabus siyam.


3-Ramzan me Fajar ki azan se pehle sehri k liye Azan dena sunnat he.
Hazrat Aysha r.a. se Riwayet he k Hazrat Bilal r.a. Raat ko(sehri k waqt se pehle) Azan de diya karte thy, chunancha Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya”Is waqt tak khao pio jab tak Ibne umme Maktoom r.a. Azan na de den is liye k Ibne UmmeMaktoom r.a. is waqt tak azan nahi dete jab tak Fajar na ho jai” Sahi Bukhari wo Muslim, Kitabus siyam.
Nabi s.a.w.s k zamane me Ramzan k maheene me Sehri k liye Azan hoti thi jo Hazrat Bilal r.a. dete thy k logon ko sehri ka waqt pata chal jai fir fajar ki azan Hazrat Ibne umme Maktoom r.a. dete, aaj technology k zamane me yeh sunnat khatam ho kar reh gai per aaj bhi Harmain sharmen Baitullah or Masjid e Nabwi me Sehri ki azan di jati hai or is sunnat ko zinda rakhe hai hame bhi chahiye k nabi k zamane ki sunnat ko zinda rakhe.

4- Ifatar me jaldi karna or sehri der se khana ambiya karam ki sunnat hai.
Hazrat Abu Darda r.a. kehte hai Rasool Allah s.a.w.s. ne farmaya”Teen baten ikhlaq nabuwat se hai(1) Roza Jaldi iftar karna{yani ek dam sahi waqt pe} (2) Sehri der se khana{sehri k akhri waqt pe khana} (3) Namaz me Dayan haath bayen hath k ooper bandhna” Is hadees ko Tibrani ne riwayet ki hai, Hadees Sahi Jamiya sageer-Rakam3034.
Aaj time or technology k zamane me har ilake ka sun set time avilable hai fir bhi aaj log 2 to 3 min sun set time k ooper ehtiyatan Azan dete hai even card bhi late time se print karwate hai jo khilafe sunnat hai tamam ambiya ki.
or bohat se log raat bhar jagte hai 1 ya 2am ko khana kha kar so jate hai fir fajar me uthte hai kuch nahi uthte yeh bhi khilafe sunnat hai sehri k akhir waqt k adha ya ek ghante pehle sehri karna masnoon hai.

5- Sehri khate azan ho jai to khana fawran tark karne k bajai Jaldi jaldi kha lena chahiye.
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayet he k rasool s.a.w.s. ne farmaya” Jab koi Admi Azan sune or peene ka bartan is k haath me ho to ise fawran na rakh de balke apni zaroorat poori kar le” Hadees Sahi sunan Abu dawood-2060.
Yani k ager aap kha rahe ho ya niwala haath me hai ya pani pene k liye glas ya bottel hath me le liye us waqt azan ho to woh niwala moun me rakh kha lo or hath me pani jo ho us ko pi lo per dosra ya teesra niwala plate se nahi lo k azan shuru hui jaldi jaldi moun me bhar lo nahi sirf hath me jo niwala ho usi ko khao to behtar hai.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)