Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya – farishte aur khud Allah sehri khane walo par apni rahmat farmata hai, Allah ka hum par kitna ehsaan hai ke ramzan mein hamare khane ko bhi sawab ki cheez bana diya, lekin kuch log susti ki wajah se sehri khana uthte hi nahi aur is sawab se mehroom rah jaate hain.
Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya – Musalmano aur dusri aasmaani kitaab waalon ke roze mein sehri khane ka hi fark hai kyonki wo sehri nahi khaate.
Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya – Sehri khaya karo kyonki isme barkat hai. Aap jab kabhi kisi sahabi ko sehri khana bulate to farmate “Aao barkat ka khana kha lo”
Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya –
Sehri kha kar roze ko aasan karo, (kyon ki zyada bhook lagne par ibadat mein bhi dil kam lagta hai) aur dopahar mein thoda sokar raat ke aakhri pehar mein uthkar Allah ki ibadat kiya karo, kyonke is time Allah saatwen aasman se pehle aasmaan par aa jata hai aur apne bando ki duaen khaas taur par sunta hai. Lekin afsos hum log us time sote rahte hain.
Hazrat Abdullah (radi allahu anhu) se riwayat hai ke mein ek baar Hazrat Muhammad (sallallahy alyhiwasallam) se milne gaya to aap us time sehri kha rahe the, aapne farmaya – Ae Abdullah, sehri barkat ki cheez hai, jo Allah ne tumko ata ki hai, isko mat chhodna.
Hazrat Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya –
Sehri zarur khaya karo chahe to ek khajur hi kha lo ya ek ghoont pani hi pi lo.
In hadison se humko sehri khana kitna zaruri hai ye pata chalta hai aur sawab to he hi. Jo nahi khate hain ab khana shuru kar den aur jo khate hain wo ye niyat karke khaen ki hum ek sunnat ada kar rahe hain, isse sawab aur badh jaayega. Lekin yaad rakhen ke sehri mein zyada bhi na khaane ke din bhar acidity aur khatti dakar aati rahein.
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022