Islamic Blog

Sehri Ko Duniya Ke Alag Alag Mulko(Country) Mein Alag Alag Zuban(Language) Mein Alag Alag Naam Se Jana Jata He Jese Ki Arab World: سحور (Saḥūr); Yorubaland: Sãrì; Iran, Afghanistan, Tajikistan, Bangladesh: سحری (Sahari, Sehri, সেহরী); Pashtunistan: یشلمي (Peshlamai), پیشمني (Peshmanai); Punjab: ਸਰਗੀ, سرگی (Sargi); South Asia: সেহরী (Sehri), سحری (Sehri), सहरी (Sahri); Sylhet: ফতা (Fota), ফতাবেলা, ফতাবালা (Fotabala, Fothabala); Azerbaijan: Sahur; Albania, Kosovo: Syfyri; Greater Somalia; Suxuur; Malay Peninsula, Turkey: Sahur; Hausaland: Sahuri; Uzbekistan: Sahar; East Africa: Daku; China: 封齋飯 (Fēng zhāifàn); Russia: Сәхәр, Cyxyp.

Allah Rabbul Izzat Ne Sehri Me Beshumar Fazilatein Or Barkatein Rakhi Hain. Aaj Sehri Ki Fazilat Or Sehri Ki Barkat Ke Mutallik Chand Hadees Sharif Aapki Khidmat Mein Pesh Karte Hain Mulahiza Farmaye.

Sehri Ke Ta’aluq Se Huzoor Rehmate Do Aalam Sarwar e Kaunein Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Chand Irshadat..
[ads-post]
“Sehri Khaya Karo Kyuki Sahri Me Barkat He”.
[Muslim Shareef, Jild-1, Safa-633, Hadees-1923]
“Hamare Aur Ahle Kitaab (Yani Yahood-O-Nasara) Ke Darmiyaan Sehri Khane Ka Farq He”.
[Muslim Shareef, Safa-552, Hadees-1096]
“Allah Azzawajal Aur Uske Farishte Sehri Khane Waalo Par Rahmat Naazil Farmate He”.
[Sahih Ibn Hibban, Jild-5, Safa-194, Hadees-3458]
“Huzoor Nabi E Kareem Sallallaho Alayhe Wasallam Apne Sath Jab Kisi Sahaabi Ko Sehri Khane Ke Liye Bulaate To Irshaad Farmate “Aao Barkat Ka Khana Khaa Lo”.
[Sunaane Abu Daawud, Jild-2, Safa-442, Hadees-2344]
“Roza Rakhne Ke Liye Sehri Khaa Kar Quwwat Haasil Karo Aur Din(Ya’ni Do-Pahar) Ke Waqt Aaram Karke Raat Ki Ibaadat Ke Liye Taaqat Haasil Karo”.
[Sunaane Ibne Maajah, Jild-2, Safa-321, Hadees-1693]
“Sehri Barkat Ki Chiz He Jo Allah Ta’ala Ne Tumko Ataa Farmaayi He Is Ko Mat Chhodna”.
[Sunaane Nasaai, Jild-2, Safa-79, Hadees-2472]
“3 Aadmi Jitna Bhi Khaa Le In Sha Allah Unse Koi Hisaab Na Hoga Ba-Sarte Ki Khana Halaal Ho,
1) Rozadaar Iftar Ke Waqt,
2) Sehri Khane Waale,
3) Mujaahid Jo Allah Ta’ala Ke Raste Me Sarhad-E-Islaam Ki Hifazat Kare”.
[Attargib Wattarhib,Jild-2, Safa-90, Hadees-9]
3 Chizo Ko Allah Mahboob Rakhta Hai
1) Iftaar Me Jaldi
2) Sehri Me Ta’qeer
3) Namaz Ke Qiyaam Me Hath Par Hath Rakhna
[At-Targheeb Wat’tarheeb, Jild-2, Safa-91, Hadith-4]
“Sehri Poori Ki Poori Barkat He Pas Tum Na Chhodo Chaahe Yahi Ho Ki Tum Paani Ka Ek Ghunt Pee Lo, Beshak Allah Ta’ala Aur Uske Farishte Rahmat Bhejte He Sehri Karne Waalo Par”.
[Musnade Ahmad Bin Hambal, Jild-4, Safa-88, Hadees-11396]
“Hazrate Saiyyadna Irbaaz Bin Saariya Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte He Ki Ek Baar Ramzaan Ul Mubaarak Me Huzoor Nabi E Kareem Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Mujhe Apne Saath Sehri Khane Ke Liye Bulaya Aur Farmaya “Aao Mubaarak Khane Ke Liye”.
[Sunaane Abu Daawud, Jild-2, Safa-442, Hadees-2344]
Khajoor Momin Ki Behtareen Sehri Hai.
[Sunan Abu Dawood, Jild-2, Safa-443, Hadees-2345]
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu Farmate Hai, Aap صلی اللہ علیہ وسلم Sehri Ke Waqt Mujh Se Farmate “Mera Roza Rakhne Ka Irada Hai, Mujhe Kuch Khilaao! Toh Mai Kuch Khajoor Aur Ek Bartan Me Paani Pesh Karta”.
[Sunan Al-Kubra, Jild-2, Safa-80, Hadith-2477]
In Tamam Faramin Se Hame Yahi Dars Milta He Ki Sehri Hamare Liye Ek Azeem Ne’amat He Jis Se Be Sumaar Jismaani Aur Roohani Fawaaid Haasil Hote.’
Source: sherekhudahazratali
As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm