Islamic Blog

••»AQIDA«••
****************
Huzoor SALLALLAHU-ALAIHi-WASALLAM Ka Jism Be-Saaya:-
**********************************
Huzoor Sayyad-A-Aalam Noor-A-Mujassam SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ki Tamaam Khususiyat Mayse Ek Khususiyat Yeh Bhi Hain Ki Aapke Jism-A-Aqdas Ka Saaya Nahi Padta Tha! Na Suraj Ki Roshni May Aur Na Chand Ki Chandni May! Yehi Aqida Sahaba, Taabayeen, Aur Tamaam Bujurgaan-A-Deen Ka Hain Jiski Tafsil Kitaabon May Majkoor Hain! Is Mukaam Per Bataur Ikhtisaar Chnd Aham Khususiyat Ke Aqide Mulaiza Ho!

Hazrat Usmaan Gani Radi-Allahu-Ta’aala Anhu Ka Aqida:-
(Inteqaal 35 Hijri)

Rayisul Mufassireen Hazrat Allama Imaam Nasfi Rehmatullah Ta’aala Alaihi (Inteqaal 701 Hijri) Farmate Hain! “Hazrat Usmaan Gani Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Huzoor Ki Bargah May Arz Kiya Ki Khuda-A-Ta’aala Ne Aapka Saaya Zameen Per Nahi Daala Taaki Koi Insaan Isper Apna Kadam Na Rakh De!”

(Tafsir-A-Madaris Jild-2,Pg-103)

*********************************
TASHRIH
*********
Is Hadees Sharif Se Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ke Jism-A-Aqdas Ka Saaya Na Hone Ke Baare May Amirul Momineen Hazrat Usmaan Gari Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ka Aqida Wajeh Taurper Malum Hua Jiski Taayid Huzoor Se Bhi Saabit Hui Ki Aapke Saamne Hazrat Usmaan Gani Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Is Baat Ko Pesh Kiya Aur Aapne Uska Inkaar Nahi Farmaya Aur Yeh Bhi Saabit Hua Ki Hazrat Allama Imaam Nasfi Rehmatullah Alaihi Ka Bhi Yahi Aqida Hain Ki Huzoor Ke Jism-A-Aqdas Ka Saaya Nahi Padta Tha Warna Is Hadees Sharif Ko Bila Tarhudh Wo Apni Tafsir May Hargiz Na Tehrir Karte!

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)