Islamic Blog

Shar e barat ko hamare muasharey mai shehar khamoosha ki eid karaar de diya gaya hai loog is raat mai khasoosi taur par jamaat dar jamaat mard aur bacche namaz e magrib k baad qabro ki ziyarat ka ehtamaam karte hai aur ise is raat ka masnoon amal karaar dete hai is munasibat se qabaritaano mai chiraga (yani chiraag wagira) aur roshni k saat hi qabro ki safayi aur choona kaari ka bhi ehtamaam kiya jata hai.

Qabro ki ziyarat karna mashrooh amal hai jesa k Nabi SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hazrat Buraida Razi Allahu Anhu ki hadees mai farmaya k mene tum ko pehle qabro ki ziyarat karne se mana kiya tha ab tum loog qabro ki ziyarat karo.
(Sahih Muslim Hadees no. 977)

Aur Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu ki hadees mai Rasool Allah SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya qabro ki ziyarat karo is liye k ye tumhe maut yaad dilaati hai. (Sahih Muslim Hadees no. 976)

Qabro ki ziyarat karna bila tayeen zamaan wa waqt wa munasibat mashroo amal hai albatta is k liye kisi khaas din ya kisi khaas munasibat ko makhsoon karna durust nahi, is raat mai khaas taur par naamaz e magrib k baad qabristaano ki khususi ziyarat k liye:

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se marvi hadees se istedlaal karte hai k ek raat Rasool Allah SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k waha they Aap SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM achanak waha se nikle hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bhi aap ke piche nikli to kya dekhti hai k Aap Baqee Qabristaan mai tashreef le gaye Rasool Allah SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne unhe dekha to farmaya kya tumhe is baat ka andaza tha k ALLAH aur uske Rasool SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM tum par zulm karenge, Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha k Ae Allah k Rasool SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM, mujhe ye shak hua tha k shayad aap kisi aur beewi k yaha chale gaye tab aap ne farmaya: Beshak Allah tabarak o ta’ala shabaan ki pandarvi (15th) raat ko aasmaani dunya par nuzool farmaata hai phir is se zayada wo utne loogo ki magfirat karta hai jitne banu kalb ki bakriyo k baal hai.
(Sunan Tirmizi Hadees no. 739, Sunan Ibne Maaja Hadees no. 1389)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm