Islamic Blog

Shab-e-Baraat – Gunnahon Se Tauba Karne Wali Raat

SHAB-E-BARAT Gunahon per nadamat aur Duaon ki qabuliat ke qeemti lamhat
Quran Majid main Irshad-E-Bari Ta’ala hai:” Is raat main her hikmat wala kaam hamaray (Allah Ta’ala ke) samne peish ho kar te kiya jata hai.” (Surah Dukhan)
Shah Abdul Aziz Muhdis Dehlwi R.A farmatay hain ke is raat Khudawand Karimki janib se bare bare kaamon k faisle hote hain aur baz mufsarin ke mutabiq is raat se murad Mah-E-Shabaan ki pandharwin (!5th) raat hai jo Urf-E-Aam main “Shab-E-Barat” ke naam se mashoor hai. is raat ke kai naam hain:
1 : Lailatul Barah yani Dozakh se nijat ki raat
2 : Lailaitul Sa’ak yani dastwiz wali raat
3 : Lailatul Mubarka yani barkatoon wali raat
Shab-E-Braat k mutaliq yeh baat wazeh hona chahye k is ki fazilat Ramzan-Ul Mubarak ki Shab-E-Qadar se kaam hai, lekin is ki fazilat se inkar karna bilkul assay hi hai jaise suraj ki mujedigi main is ka inkar.

Shab-E-Barat ki fazilat Aahdis Mubarka ki roshni main:

Riwat k mutabiq Allah Ta’ala Shabaan ki Pandharwin (15th) Aasmain dunya per nazul farmata hai au Qabila Banukalb ki Bakriyun (goats) ke baalon ki tadad se ziyada gunah garoon ki bakshish farmata hai, ( Trmazi, Ibn Majah) jab Shabaan ki pandriwin raat ati ha to Allah Ta’ala ki taraf se aik ailan karne wala yeh ailan karta hai k, hai koi Bakshish ka talabgar k main issay bakshish doon, hai koi sawal karne wala k main is ka sawal pura karoon (behiqi).
Shab-E-Baraat se mutaliq humein Sarkar-E-Do Aalam (S.A.W) ka ye Irshad-E-Garami bhi milta hai
“Mujhe Jibrail ne aa kar ye basharat sunai ke ye shaban ki pandhriwin (15th) raat hai. Is raat ALLAH TALLAH banukalb ki bakriyoon (goats) k baloon ke barabar logoon ko dozakh se aazad farmata hai”. Shab-E-Barat main kiya hota hai. Hadees ki mashoor kitab behiqi ki riwayat ke mutabiq Sarkar-E-Do Aalam(S.A.W) ne Sayedah Aisha Sidiqqah(R.A) ko mukhatib kar k farmaya “Kiya tumhein maloom hai k Shabaan ki is raat main kiya hota hai?
Aap (S.A.W) ne farmaya: “Is raat main is saal jitne paida hone wale hone wale hain wo saab (yani k mutaliq aahkam) likh diye jate hain aur jitne is saal marne wae hain, wo sab bhi is raat likh diye jate hain aur issi raat main tamam bandoon ke ( saal bhar ke) aamal authaye jate hain aur raat main logoon ki rozi autarti hai.” Aamal authaye jane ka mutlab yeh hai k Aamal Darbar-E-Khudawani main paish hote hain aur rozi autarne ka mutlab yeh hai k aik saal jitni rozi insaan ko milne wali hai, wo sab likh di jati hai.
Aik riwayat main aata hai k is mahine ki pandhariwin (15th) raat main Malik-Al-Moot ko aik register diya jata hai, aur hukum diya jata hai k purey saal main marne waloon ke naam is register main likh do, chunacha koi aadami kheti bari karta hai, koi nikh karta hai, koi kothi aur building bane main mashghool hota hai, magar is ko yeh maloom nahi hota k mera naam marne waloon ki fehrist main likha gaya hai.
Sayadna Siddique Akbar (R.A) ka farman: Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A) farmate hain k Allah Ta’ala Shabaan ki pandharawin raat ko Aasan dunya per nazool farmata hai aur har gunnahgar ki maghfarat farma deta hai, magar mushrik ki bakshish nahi hoti aur Allah Ta’ala un logon ko nahi bakshta, kena aur aadawat aur aik dusroon ki dushmani bahri hoti hai.(Sanan Behiqi)

Sayedna Hazrat Ali (R.A) ka aamal :-

Sayedna Hazrat Ali (R.A) k mutaliq hai k wo or is raat main baar baar ghar se bahar nikal kar aasman ki taraf nigah utha kar dekhte or phir farmate k Hazrat Daud (A.S) bhi is raat main asse hi baar baar bahar nikal kar aasman ki taraf dekha karte the or farmaya karte the
“yeh aisi gahri (time) hai ka jo is main ALLAH TA’ALA se dua mangta hai, ALLAH TA’ALA isse qabool farmata hai
aur jo is se bakshish manta hai,wo isse baksh deta hai, bashartyeke mangne wala (zulm se) tax na wasool karta ho,
ya jadoogar na ho, ya najoom ki baatein na batlata ho,ya jallad ya fal nikalne wala na ho ya juwa kelne wala ya baja bajane wala na ho.”(Ibn-E-Majah)

Shab-E-Baraat ki kuch khuosiyaat:

Shab-e-Baraat ki ahadees main jo khusosiyaat bayan ki gai hain, wo yeh hain:
1: Ghroob-e-aftab k baad se tulo-e-subah sadik tak haq tallah ke khusosi tajaliyaat aur anwaar ki musalsal barish or aasmani duniya ki taraf ALLAH TA’ALA ka nuzool.
2: ALLAH TA’ALA ki apne bandoo per khusosi rehmat or sari raat farishtoon k zarye gunnahgaroon ki talb-e-magfirat, bimaroon
ko talb-e-aafiyat-o-sehat, hajat mandoon ko apni hajat poori hone k liye dua mangne ki dawat .
3 :Bimaroon, gunahgaroon aur hajatmandoon waghera ke liye qabooliyat-e-edua ki bishrat.
4: Gunnahgaroon ko apne gunnahoon se sachi toba karne per Janat ki basharat aur dozakh se nijat ka parwana
5: Aik saal k ander marne wale, paida hone wale, Hajj karne wale logon k mutaliq faisla farishtoon k sapurd kar diya jata hai
Shab-E-Barat ( 15th Shaban ) k rozay ka hukum :- Agercheh 15 Shabaan ka roza farz ya wajib nahi, balke nafli hai, magar is ka bara Agar-O-Sawab hai. Sayedna Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai k Aap (S.A.W) ne irshad farmaya: “Jab Shaban ki pandhriwin raat aaye to is raat ko qayam karo (yani namazein parho) aur (aglay) din ka roza rakho.
Shab-E-Baraat main Qabristaan jane ka hukum:- Sarkar-E-Do Aalam (S.A.W) SE Shab-E-Baraat main qabristaan jan sabit hai, lekin wo bhi bilkul akele khamoshi se, is mokay per qabristan main mahez ghumne phirne k liye jana, mela lagana ya khilaf-shara koi kaam karna munasib nahi.
Is raat kin aamwar se bachna zaroori hai? : Shab-E-Baraat jo k bari fazilat wali raat hai, is main aksar hazraat la-ilmi main kharafat k martkab hote hain, khususan bache baroon ki sarparasti main aatish bazi karte hain, yeh bohat bara gunnah hai, Khususan dusroon takleef de kar khush hona issi tarahan paisoon ka zaya karna jo k israf hai aur Quran main assay logon ko Shetan ka bhai kaha hai. Is tarhan baz log toliyon ki surat main gup shup karte hain, ghibat aur gunnah k martakab hote hain, is se bachna bhi bohat zaroori hai.
Baz Hazraat raat teen (3), char (4) baje tak jagte hain phir so jate hain aur Fajar ki namaz nahi parhte, yeh bhi sakth gunnah hai. Hadees main hai k ager banda Isha ki namaz jamat se parhe aur Fajar ki namaz parhe aur darmiyan main koi gunnah ka kaam na kare aur so jaye to is ki sari raat ibadat main shumar hoti hai.
Aaye is mubrak raat main ehad (promise) karein k aainda koi gunnah ka kaam na kareinge, kisi ki haqtallfi na kareinge, apni zaat se bhaliye aur deen ka kaam kareinge aur is raat main hasb-e-istata’at, Tilawat, Zikar-o-Aazkar, Salat-ul-tasbeh aur nawafil waghera ka ahtamam kareinge aur saath hi umat-e-muslima k liye khusisi dua’ein karein k Allah ki rehmat hamari taraf mutawaja aur aaj musalaman jis mushkil surat-e-haal se do char hain is khatama ho (Aameen).
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)