Islamic Blog

Qur’an :ُ
▶▶▶Paak hai wo zaat jo raat ke thode se hisse me apne (mehboob) bande ko Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak le gai, jis ke ird gird ko hamne ba-barkat bana diya hai taake hum us ko apni (azeem) nishaaniya dikhayen.
Beshak wo khoob sunne waala khoob dekhne waala hai.
(17 Surah bani israyeel-ayat -)
▶▶▶Hazrat Salmaan Faarsi radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘27 Rajab ko Roza rakhne ka sawaab 100 maqbool Roze ke baraabar hai.’
(Sho’ab-ul-Eimaan)
▶▶▶SHAB E MERAJ KI NAWAFIL
======================
1)→ 2 RAKAT Nafil Namaz , Baad Surah Fateha ke SURAH IKHLAS (Qul hu Allahu ahad) ek martaba padhe.
(Fzail▶Gunaho ki Maafi ke liye Dua kare)
2)→2 RAKAT Nafil Namaz, Baad Surah Fateha ke SURAH IKHLAS (Qul hu Allahu ahad) 11 martaba padhe.
(Fazail▶Sarkar e Do Aalam , MERAJ UN NABI SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALIHI WA SALLAM ko nazar kare)
3)→12 Rakat Nafil Namaz 3 salam se, har Rakat me Surah Fateha ke baad 3 martaba SURAH QADAR (Inna anzalna) padhe.
★Baad salam -70 martaba LAA ILAHA ILLALLAHU MALIKUL HAKKUL MUBEEN padhe.
4)→4 RAKAT Nafil namaz, har Rakat me baad SURAH FATEHA ke 3 martaba SURAH NASAR (Alam nashrah) padhe.
5)→4 RAKAT Nafil Namaz, har Rakat me SURAH FATEHA ke 21 martaba SURAH IKHLAS (Qulhu Allahu ahad) padhe.
★Baad salam ke 70 martaba -ASTAGFIRULLAHI RABBI MIN KULLI ZAMBI WA ATUBI ILAIHI padhe.
6)→12 RAKAT Nafil Namaz 4 salam se,
#pahli 4 Rakat Namaz me -Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad 3 martaba SURAH QADAR (Inna anzalna) padhe.
★Baad salam ke 70 martaba LAA ILAAHA ILLALLAHU MALIKUL HAKKUL MUBEEN padhe.
#Doosri 4 Rakat Namaz me-Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad 3 martaba SURAH NASAR (Alam Nashra )padhe.
★Baad salam ke 70 martaba-INNAKA QAVIYYUN MUIYYUN WAAHIDIYYUN DALEELUN BI HAQQI IYYAKA NAABUDU WA IYYAKA NASTAEEN padhe.
#Teesri 4 Rakat Namaz me- Har rakat me SURAH FATEHA ke baad 3 martaba SURAH IKHLAS (Qul hu Allahu ahad) padhe.
★Baad salam ke -70 martaba Surah ALAM NASHRAH padhe.
7)→ 4 Rakat Nafil Namaz 2 salam se, Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad SURAH IKHLAS (Qul hu Allahu ahad) 27 martaba padhe.
★Baad salam ke 70 martaba-Darood e shareef padhe.
8)→20 Rakat Nafil Namaz 10 salam se, Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad SURAH IKHLAS (Qul hu Allahu ahad) 1 martaba padhe.
9)→12 Rakat Nafil Namaz -Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad Koi SURAH padhe aur har 2 Rakat pure hone par ATTAHIYAT padhe aur 12 Rakat complete hone ke baad Salam phere.
★Baad salam ke –
100 martaba-SUBHAN ALLAHI WALHAMDULILLAHI WALAAILAHA ILLALLAHU WALLAHU AKBER .
100 martaba-ASTAGFAAR
100 Martaba-DAROOD E SHAREEF padhe.
10)→10 Rakat Nafil Namaz 5 salam se, Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad 1 martaba SURAH IKHLAS (Qulhu allahu ahad) aur 3 martaba SURAH KAFIROON padhe.
11)→10 Rakat Nafil Namaz 5 salam se, Har Rakat me SURAH FATEHA ke baad 3 martaba SURAH IKHLAS (Qul hu allahu ahad) aur 3 martaba SURAH KAFIROON padhe.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm