Islamic Blog

Shab-E-Qadar Kya hai –

Ramzan mein ek khaas raat hoti hai. ye raat bahut hi barkat aur bhalai ki raat hai, is raat ko jaagkar Allah ki ibadat karte hain. Quran mein is raat ko 1000 mahino se badhkar bataya gaya hai, matlab agar koi insan is raat ko jaagkar Allah ki ibadat kar le to usko kam se kam 1000 mahine ibadat karne ka sawab milta hai, 1000 mahine matlab 83 saal, 4 mahine. Kam se kam 1000 mahine ka sawab to milta hi hai aur Allah chaahe to isse bhi badhkar de sakta hai.


Ye Raat Ramzaan Mein Kab Aati Hai –


Bahut se log ye samajhte hain ke shab-e-qadar ramzaan ki 27 shab hi hoti hai, lekin ye zaruri nahi hai ke shab-e-qadar isi raat ko ho. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke Shab-E-Qadar ko ramzaan ki aakhri 10 taak raato mein talash karo, matlab ye raat 21, 23, 25, 27, 29 raat mein se koi bhi ek raat ho sakti hai (Allah ne is baat ko chhupa liya ke shab-e-qadar isme se kon si raat hai). Isliye agar shab-e-qadar jesi keemti raat ko paana hai to ye 5 raat jaagna padhega, kisi bhi keemti cheez ko paane ke liye thodi mehnat to karna padhti hai. Kai ulema ne is baat par zor diya hai ke shab-e-qadar 27vi raat ko hoti hai.


Hum kisi ki shaadi, party, movie, exam mein raat bhar jaag lete hain to kya itni keemti raat ke liye hum sirf 5 raat nahi jaag sakte. Wese bhi ramzan mein insan raat 12-1 baje tak sota he aur 3.30 baje sehri ke liye uth jata hai, phir fajar padh kar hi sota hai, agar hakikat mein dekha jaae to sirf humko 3-4 ghante hi zyada jaagna hai.

 

Shab-E-Qadar Ki Keemat
====================

Shab-E-Qadar ramzan mein jaagne waali ek raat hai. Jo insan is raat mein jaag kar Allah ki ibadat kar leta hai usko 1000 mahino (83 saal, 4 mahine) se bhi zyada ibadat karne ka sawab milta hai.
Ye raat Allah ki taraf se ummat-e-Muhammadiya ko inaam he, kyonke humse pahle ki ummat ko ye raat nahi di gai. Is raat ki badi keemat hai, Allah ne quran ki puri 1 surah (inna anzalnaahu) is raat ki taarif mein utaar di. Pura Quran sharif Loh-e-mehfuz se aasman-e-duniya mein isi raat mein utara gaya. Isi raat mein farishto ko banaya gaya aur Adam (alyhissalam) ka madda isi raat mein jama hua, isi raat mein jannat mein ped (trees) lagae gae, Isa (alyhissalam) zinda aasmaan par isi raat mein utha liye gae, isi raat mei bani israil ki dua kubul hui. Aur Hazrat Jibrail (alyhissalam) farishto isi raat ko ek farishto ke giroh ke saath duniya mein aate hain aur jis insan ko Allah ki ibadat karte paate hain uske liye rahmat ki dua karte hain, phir farishte puri duniya mein fel jaate hain aur masjid, ghar, jugnle, jahaz, pahad, gaadi mein jaha bhi unko koi insan Allah ki ibadat karta hua milta he, farishte usse haath milaate hain. Is raat mein jo insan imaan ke saath sawab ki niyat se jaagta hai Allah uske saare sagira (chhote) gunaho ko maaf kar deta hai, kabira (bade) gunah bager toba ke maaf nahi hote, isliye is raat mein apne kabira gunaho ki Allah se khoob maafi maangiye.
Ye bahut keemti raat hai, khush naseeb hai wo insan jisko ye raat mil jaae, isliye ramzaan ki 21, 23, 25, 27 aur 29 raato ko jaagiye, shab-e-qadar inhi raato mein se ek raat hoti hai. Kai ulema is baat par zor dete hain ke 27 raat hi shab-e-qadar he.
Jo log sirf moj-masti ke liye raat jaagte hain aur Allah ki ibadat nahi karte, unko raat jaagne se koi sawab nahi milta.

 

Allah Ne Shab-E-Qadr Kyo Banai
==========

Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko jab ye ehsas hua ke meri ummat ki umar to bahut kam hoti hai (60-70 saal). Jabke duniya mein aane waale mere se pahle ke nabiyo ki ummat ki umar sekado saal hua karti thi, Agar meri ummat neki mein umar ke hisab se unki barabri karna chahe to mushkil hai, is baat se Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko thoda gam hua, isliye Allah ne ummat-e-Muhammadiya ko ye raat inaam mein di hai ke agar kisi ko 10 shab e qadr bhi mil gai to usko kam se kam 840 saal ki ibadat ka sawab milega.
Allah ka hum par bahut ehsan he ke usne humko shab-e-qadr jesi raat ata ki,

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)