Shab e Qadr ki Fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qur’an :
97 Surah al-Qadr :
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيم
إِنَّا أَنْزَلْنَاهُ فِي لَيْلَةِ الْقَدْرِ
وَمَا أَدْرَاكَ مَا لَيْلَةُ الْقَدْرِ
لَيْلَةُ الْقَدْرِ خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ شَهْرٍ
تَنَزَّلُ الْمَلَائِكَةُ وَالرُّوحُ فِيهَا بِإِذْنِ رَبِّهِمْ مِنْ كُلِّ أَمْرٍ
سَلَامٌ هِيَ حَتَّىٰ مَطْلَعِ الْفَجْرِ
Beshak hum ne is (Qur’an) ko Shab e Qadr me utaara [naazil farmaya] hai.
Aur kya Aap jaante hain ki Shab e Qadr kya hai?
Shab e Qadr (fazeelat wa azmat me) hazaar mahino se behtar hai.
Is me farishten aur Roohul ameen [Hazrate Jibreel alaihis salaam] naazeel hote hain apne Rab ke hukm se har kaam me khair wa barkat lekar.
Ye subah roshan [tulu’] hone tak salaamti (ki raat) hai.
Hadees e Nabawi :
(1) Hazrat Anas ibn Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Jab Ramazaan ka mahina shuru hua to Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Ye mahina tum me aaya hai aur is me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se achhi hai to jo shakhs is ki barkato se mahroom raha wo tamaam bhalaiyo se mahroom raha aur nahi mahroom rakha jaata kisi ko is ki bhalayio se magar sirf wo jo bilkul be-naseeb ho.’
(Ibn e Maajah)
(2) Hazrat Anas ibn Maalik radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Shab e Qadr me Hazrate Jibreel alaihis salaam farishto ki (bahot badi) jama’at ke saath zameen par utarte hain. Wo sab har us shakhs ke liye Dua e Maghfirat karte hain jo khade baithe (kisi bhi haal me) ALLĀH ka zikr kar raha ho.’
(Bayhaqi, Sho’ab ul eimaan, 3 : 343, Hadees -3717)
(3) Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ki
‘Shab e Qadr ko Ramazaan ke Aakhri Ashre ki Taaq [21, 23, 25, 27, 29wi] raaton me talaash karo.’
(Tirmizi)
(4) Hazrate Aa’isha Sideeqa radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki :
Maine Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam se puchha ‘Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam, Agar mujhe maaloom ho jaaye ke Shab e Qadr kaun si raat hai to main kya karu?’
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya ‘Yeh Dua (kasrat se) padho : Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul afa’w fa’afu annee.’
(5) Jis ne Shab e Qadr me eimaan aur ikhlaas ke saath Qayaam kiya to us ke umr bhar ke guzishta gunaah muaf farma diye jaayenge.
(Bukhari, Jild -1, Safa -660, Hadees -2014)
***************
Shabe Qadr ki Ibaadat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Maah e Ramazaan ki 27wi raat ke nawaafil :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 2 Rak’at nafl namaaz Tahyatul wuzu padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad 1baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah Ikhlaas padhen.
In sha’ Allāh har katra paani ke badle 700 rak’at nafl namaaz ka sawaab milega.
(2) 4 Rak’at namaaz padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 1 martaba, Surah Ikhlaas 17 martaba padhen.
Salaam baad 70 baar Istigfaar padhen.
Phir ye Dua padhen :
Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul afa’w fa’afu annee.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala tamaam pichhle gunaah muaf farmaega aur Jannat me daakhil farmaega.
(3) 4 Rak’at namaaz 1 salaam se padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Surah Ikhlaas 17 martaba padhen.
Salaam baad ye dua padhen :
Ash’hadu allaa ilāha illallāhu astagfirullāh,
Allāhumma innee as’alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala Maut ke waqt aasaani ata farmaega aur Qabr ke azaab se mehfooz rakhega.
(4) 4 rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah al-Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba aur Surah al-Ikhlaas 50 martaba padhen.
Salaam baad sajde me jaakar 1 martaba ‘Sub’hānallāhi walhamdulillāhi wa laa ilāha illallāhu wallāhu akbar’ padhen.
Phir 3 marataba ye Dua padhen.
Allāhumma innee as’alukal afa’w wal aafiyat wal muaafat fid deeni wad dunya wal aakhirah.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala tamaam nek jaa’iz murado ko puri farmaega aur duaen qubool farmaega.
(5) 2 Rak’at namaaz padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 7 martaba aur Surah Ikhlaas 7 martaba padhen.
Salaam baad Durood shareef aur Astaghfaar padhen.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala is namaaz padhne wale ki aur us ke waalidain ki bakhshish farmaega.
Allāhumma innee as’alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
(6) 2 raka’t namaaz padhen.
Har rakat me Surah Faatiha ke baad Surah Alam Nasrah 1 martaba aur Surah Ikhlaas 3 martaba padhen.
Salaam ke baad 27 martaba Surah Qadr aur 100 martaba Durood shareef padhen.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala beshumaar sawaab ata farmaega.
(7) Subah saadiq se pehle 4 rak’at namaaz ek salaam se padhen.
Har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba aur Surah Ikhlaas 5 martaba padhen.
Salaam baad sajde me jaakar 41 martaba ‘Sub’hān Allāh’ padhen.
In sha’ Allāh ALLĀH ta’ala tamaam nek jaa’iz murado ko puri farmaega aur duaen qubool farmaega.
*****************
Duaen aur Azkaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
Allāhumma innaka afuwwun tuhibbul afa’w faa’afu annee.
Tarjuma :
Aye ALLĀH tu muaf farmaane wala hai muaf karna tujhe pasand hai tu mujhe muaf farma.
(2) Allāhumma innee as’alukal afa’w wal aafiyat wal muaafat fid deeni wad dunya wal aakhirah.
(3) اللّهُمَّ إِنِّي أسألُكَ الجَنَّة، اللّهُمَّ أجِرني مِنْ النَّار.
Ash’hadu allaa ilāha illallāhu astaghfirullāh,
Allāhumma innee as’alukal jannah allāhumma ajirnee minan naar.
(4) Allāhumma ajirna minan naari ya mujiru, ya mujeeroo ya mujeeroo ya mujeer.
(5) Astaghfirullāhallazi laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilaihi.
(6) Sub’hān Allāhi wa bihamdi Sub’hān Allāhil azeem.
(7) Surah al-Mulk 7 martaba padhen.
(8) Surah al-Qadr kasrat se padhen.
*******************
▪▪► Kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.
▪▪► Aur apne liye aur tamaam ummat e Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.
▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa’inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.
Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.
*******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait waseele se aur Auliya Allāh aur Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is Mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Tamaam kaarobaar me khair o barkat ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najaat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aameen.
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022