Islamic Blog

Allah ne shab-e-qadr ki taarif ke liye ek quran ki surah (surah al qadr) hi utaar di, isse humko shab-e-qadr ki keemat pata chalti hai, uska tarjuma (translation) ye hai –
1) BESHAK HUMNE QURAN PAAK KO SHAB-E-QADR MEIN UTARA HAI.

Matlab -Allah ne quran ko loh-e-mehfuz se duniya waale aasman par isi raat mein utara hai, ye hi ek baat is raat ki keemati banane ke liye kaafi thi ke isme quran ko utara gaya hai.


2) AAPKO KUCH MAALUM BHI HAI KE SHAB-E-QADR KESI BADI CHEEZ HAI.


matalb- Yaha Allah insano ko shab-e-qadr ki keemat bata raha hai ke tum samajhte bhi ho shab-e-qadr kya cheez hai.


3) SHAB-E-QADR HAZAR MAHINO SE BADHKAR HAI.
Matlab – shab-e-qadr mein jaag kar Allah ki ibadat karne wale ko kam se kam 1000 mahino ki ibadat ka sawab milta hai, ye to kam se kam bataya gaya hai, zyada kitna milta hai ye nahi bataya gaya yaani Allah isse zyada bhi de sakta hai.


4) IS RAAT MEIN FARISHTE UTARTE HAIN
Maltab – jab shuru mein Allah ne Adam (alyhissalam) ka putla banaya tha tab farishto ne Allah se arz kiya tha ke aap aese insano ko kyo bana rahe ho ke wo duniya mein jaakar ladai-jhagda karega, gunah ke kaam karega. Shab-e-qadr ki raat jab insan Allah ki ibadat karta hai to Allah farishto ko insano ki ibadat dikhata hai aur insano par fakr karta hai. Isliye pahle jo farishto ne sawal kiya tha uske pachhtawe ki wajah se duniya mein is raat ko khaas tor se utarte hain.


5) AUR IS RAAT KO RUHUL QUDDUS (JIBRAIL ALYHISSALAM) ALLAH KE HUKM SE HAR AMR-E-KHER KO LEKAR ZAMEEN KI TARAF UTARTE HAIN
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke shab-e-qadr ki raat mein Jibrail (alyhissalam) farishto ke ek giroh ke saath duniya mein utarte hain aur jis insan ko Allah ki ibadat karte dekhte hain uske liye rahmat ki dua karte hain.


6) YE RAAT SARAPA SALAM HAI
matlab – puri raat farishto ki taraf se ibadat karne walo par salam hota rahta hai aur salam karne farishto ka ek jhund aata hai aur ek jata hai.


7) WO RAAT SAARE BARKAAT KE SAATH SUBAH TAK RAHTI HAI.
matlab – raat ke kisi ek khaas hisse ki ahmiyat nahi hai balki puri raat hi keemti hai.
note: bahut se bhai-bahan ye samajhte hain ke sirf 27 shab hi shab-e-qadr hai to aesa nahi hai, balki shab-e-qadr ramzan ki 21, 23, 25, 27, 29 raat mein se koi bhi raat ho sakti hai, isliye shab-e-qadr ko paane ke liye in saari raato ko ibadat kijiye. Inki keemti raat hai agar 5 raat jaag bhi liye to koi badi baat na hogi, lekin iska badla bahut bada milega, inshaAllah.
Allah hum sabko shab-e-qadr ka naseeb kare,

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)