Shab e Qadr Ki Ek Pyari Hadees
Rasulullah Sallallaho Alayhi Wasllam Ne Farmaya Ke
Paanch«5» Cheezo Ko Paanch Cheezo Se Poshidah Rakkha Gaya He
1. Logo Ki Ibadat Par Allah Ne Apni Razamandi Zaahir karne Ko
2. Gunaaho Par Apne Gazab or Gusse Ko Zaahir Karne Ko
3. Wusta Namaz«Darmiyani Namaaz» Ko Dusri Namazo Se
4. Apne Dosto Ko Aaam Logo Ki Nazron Se
5. Ramzaan Ke Mahine Me Shab e Qadar Ko
Reference[ Gunyatuttalibeen, Masail Shabe Qadra..Page/ 102 ]
Dosto Ramzaan Ka Sirf Aakhri 10 Din Baqi Rahe He or
Shab e Qadar Aakhri 10 Raato Me Se Kisi Me Hoti He
So Apne Aap Ko Gunaaho Se Bachao or Khub Ibadat Karke Allah Ko Raazi Karlo or Apni Magfirat Karwalo
Allah Hamari Magfirat Farmaye or Humse Raazi or Khush Ho Jaye
AAMIN SUMMA AAMIN
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021