Islamic Blog

Shab e Qadr

Shab e qadr ki fazilat in urdu

Ramzan mey laylatul qadr (Shab E Qadr) bhi hai. Jo aakhri 10 raato mein hume padna hai. Laylatul qadr vo raat hai jo hazaar mahino se behtar hai. Yaani agar koi musalman is raat ko paale to goya usne 1000 raatki ibaadat ka sawaab paa liya. To hume chaahiye ki apne Rab ke saamne ro rokar gidgidaakar apne gunaaho ki bakshish maange. Ramzan hamaare gunaaho ko dhone ke liye aaya hai. Uska ek bhi lamha zaaya na kare.

lailatul qadr ki fazilat

Shab E  Qadr aur etikaaf.

Shab e Qadr woh mubaarak raat hai jismein Quran majeed naazil hua. Ye raat apni qhadr aur khimat ke lihaaz se kayi afzal hai. Khazaane ko paanewali woh raat hai jo aam raato ke muqhaable mein kayi ziyaada afzal hai. Hazaaro mahine se behtar hai. Jo koi shaks is raat mein qhiyam kare aur maghfirat kare ya ibaadat kare usko saare gunaaho ki maghfirat ki khushkhabri di gayi hai. Har raat ki tarah is raat mein bhi woh ghadi hai jis mein duaey  qhubul karli jaati hai. Aur deen aur duniya ki bhalaai maangi jaaye woh ataa ki jaati hai. Agar aap is raat ki khair se mehrum rahe to isse badi bud khismati aur kuch nahi ho sakti.

Shab e qadr konsi raat hai ye hume yakheeni taur par nahi bataaya gaya hai. Hadeeso se malum hota hai ki woh aakhri ashre ki koi taaqh raat hai. Yaani 21vi, 23vi, 25vi, 27vi aur 29vi. To hum sab uski justuju aur talaash mein jutey  rahe, mehnat kare aur apne shauk ki aag ko jaltaa rakhe. Aakhri ashre ki har raat mein use talaash karne ki koshish kare. Jo chiz Allah ko sabse ziyaada mehboob aur pasand woh  ye hai ki bandaa is raat mein usse maange, uski ibaadat kare aur apni maghfirat kare. Apna ehtisaab kare. Kamar kasle aur himmat kare ki aakhri ashre ki har raat mein hum shabe qhadr ko talaash karenge. Namaaz, quran ki tilaawat, zikr aur dua se aur maghfirat karke guzaarenge. Apne saro ko sajde mein, apni peshaani ko zameen par tek kar roe aur gidgidae aur apne gunaaho se tauba aur istighfaar kare.Aur is dua ko kasrat se padhey ” Allahumma innaka afuvun tuhibbul af va fa’aa fu anni”. Jiska tarjuma is tarah se hai “Mere Allah tu bahot maaf karnewaala hai. Maaf karne ko mehbub rakhta hai to mujhe maaf karde.”

 

Agar himmat aur hosla ho to aap aakhiri ashre mein etikaaf bhi zarur kare.10 din ka mumkin na ho to kam muddat ka sahi. Etikaaf ruh ko paakiza karta hai aur apne Rab ke kareeb karta hai.Aap sallallahu alaihi wasallam ne hamesha etikaaf kiya hai aur iski badi taakid farmaayi hai. Hazrat Aisha raziallahu anha bataaya hai jab ramzan ka aakhri ashra aata to aap sallallahu alaihi wasallam apni kamar kas lete, raato ko jaagte, apne gharwaalo ko jagaate aur itni mehnat karte jitni koi aur ashre mein na karte. Etikaaf ki asal ruh ye hai ki aap kuch muddat ke liye duniya ke har kaam, kaarobaar aur dilchaspi se hatkar apne aap ko sirf Allah ke aage surrender karde. Aap sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaaya ki jo koi etikaaf karta hai uske pichle aur aanewaae saal ke gunaah baksh diye jaate hai. Mard aur bachche masjid mein etikaaf kare aur aurtein gharmein. Iski ek aur fazilat ye bhi aayi hai ki jo log etikaaf karte hai to Allah us saal unki bastiyo ko azaab se mehfuz rakhta hai.  Allah paak se dua hai ki hum sabko shabe qhadr mein jamkar ibaadat karne ki toufiq ataa farmaaye aur etikaaf karne ki himmat aur hosla de.

Aameen ya Rabbal Aalameen.

Taaq Raat ki Namaz

Huzoor salallaho alaihi wasalam irshad farmate hain key meri ummat mey sey hi mard ya aurat Yeh khwaish karey key iski qhabar noor ki roushni sey munawar Ho tho ise chahiya key mahe Ramazan ki Shabe qhadro mey kasrat key Saath ibadat-e-ilaahi Baja laye takey in Mubarak aur mutabarrak raaton ki ibaadat sey allah paak iske naam-e-amaal sey burayian mita kar nekiyoun ka sawaab aata farmaye Shabe qhadr ki ibaadat sattar (70) Hazaar Shab ki ibaadaton sey afzal hai.

Ekiswi (21) Shab ko chaar (4) Rakaat namaz  2 salaam sey padhen har Rakaat mey baadh Surah Fatiha key Surah qhadr ek ek baar aur Surah ekhlaas Ek Ek martaba padhen.
Baadh salaam ke sattar (70) martaba darood-e-paak padhen.
IN SHA ALLAH TA’ALA is namaz key padhne Waley key haq mai  farishtay dua-e-maqhfirat karenge.

shab e qadr ki raat

Mahe Mubarak ki tayiswi (23) Shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen aur har Rakaat mey baadh Surah Fatiha key Surah qhadr ek ek baar aur Surah ekhlaas teen teen baar padhen.
IN SHA ALLAH TA’ALA waaste maqhfirat gunah key yeh namaz bahut afzal hai.

Mahe Ramazan ki pachees (25) Tareekh ki Shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen badh Surah Fatiha key Surah qhadr Ek Ek baar aur Surah ekhlaas paanch paanch martaba haar Rakaat mey padhni hain, baadh salaam key kalima-e-tayub 100 martaba padhen baargahe rabbul izzat sey IN SHA ALLAH TA’ALA beshumaar ibaadat ka sawaab ataa hoga.

shab e qadr ki raat ki ibadat

Satayisvi (27) shab ko 12 Rakaat namaaz teen (3)salam say padhay har Rakaat may baad Surah Fatiha kay suraj qhadr ek ek martaba, Surah ekhlaas 15 martaba padhay baad salaam Kay 70 martaba astaghfar padhay ALLAH TA’ALA is namaz padhnay walay ko nabiyo ki ibadat ka sawab ataa farmayengay IN SHA ALLAH TA’ALA

Untheesvi( 29) shab ko chaar (4) Rakaat namaz 2 salaam sey padhen har Rakaat may Surah Fatiha kay surah qhadr ek ek baar Surah ekhlaas teen teen martaba padhen baadh salaam key Surah alam nashrah sattar (70) martaba padhen.  Yeh namaz waaste kamil imaan key bahut afzal hai.
IN SHA ALLAH TA’ALA Merey parwardigaar is namaaz key padhne walon ko duniya se mukammal imaan key Saath uthaega .

Shab e qadr ki Raat

Ramzan shareef mey isha aur taraweeh namaz key baadh Rozana  teen martaba kalima-e-tayub padhne ki Bahut Fazilat hai. 
Awwal martaba padhne sey gunahoon ki maghfirat hogi. 
Dusri martaba dozaqh sey azaadi hogi. 
Teesri martaba padhnay sey jannat ka mustahaqh hoga. 
sab e qadr Du
Bismillahirrahmanirrahim

✦ Shab-e-Qadr ki dua

(اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي)

———-
✦ Aisha Radi Allahu Anha ne farmaya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam agar 
Mujhe shab-e-Qadr mil jaye to kya dua karu to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kaho
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

(Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni)

Tarjumah: Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
Sunan ibn Majah, Jild 3, 731-Sahih
———-
عائشہ رضی اللہ عنہ نے فرمایا یا رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم اگر مجھے شب قدر مل جائے تو کیا دعا کروں تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہو
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
یا اللہ تو معاف کرنے والا ہے اور معاف کرنے کو پسند کرتا ہے اس لئے مجھے معاف فرما 
سنن ابن ماجہ جلد ٣ حدیث ٧٣١
———–
✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा ने फरमाया या रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम अगर मुझे शब-ए-क़द्र मिल जाए तो क्या दुआ करू तो आप सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया कहो
अल्लाहुम्मा इन्नका अफुव्वुन तुहिब्बुल आफू, फाअफू अन्नी 
या अल्लाह तू माफ़ करने वाला है और माफ़ करने को पसंद करता है इसलिए मुझे माफ़ फरमा 
सुनन इब्न माज़ा, जिल्द 3, 731-सही 
———-
✦ It was narrated from ‘Aisha Radi Allahu Anha that she said O Messenger of Allah, what  should I say in my supplication, if I come upon Laylatul-Qadr?” He Sallallahu Alaihi Wasallam said: “Say: 

(اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي)

(Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni)

O Allah, You are Forgiving and love forgiveness, so forgive me.
Sunan ibn Majah, Book 34, Hadith 24-Sahih

Read Also

Shab E Qadr Mein Konsi Ibadat Kare

Shab E Qadr Ki Raat Ko Ye Namaz Padh Sakte Hain

Source: https://urdutreasure8.blogspot.com/
Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)

One Response