Islamic Blog

Gunaho Ko Maaf Karane Waali Namaz – Salatut Tasbeeh
==================================
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne ek din apne chacha Hazrat Abbas (radi allahu anhu) Se Farmaya Ke
Aye Chacha, Kya Mein Aap Ki Khidmat Me Ek Qimti HADIYA[gift] Na Pesh Karu?????? Kya Me Aap Ke 10 KAAM Na Karu????? aur Wo Amal Esa He Ke Jis Se Allah Aap Ke Sare Gunah Maaf Farma Denge
1 Agle Sab Gunah
2 Pichle Sab Gunah
3 Purane Gunah
4 Naye Sab Gunah
5 Bhul Se Huwe Sab Gunah
6 Jan Bujh Kar Kiye Gaye Sab Gunah
7 Chote Gunah
8 Bade Gunah
9 Chup Kar Kiye Gaye Gunah
10 Sab Ke Samne Kiye Gaye Gunah Sab Ke Sab Gunah Allah IS Amal Se MAAF Farma Dega,
Phir Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne pura namaz ka tarika bataya. Is Ke Baad AAP (sallallahu alyhiwasallam) Ne Farmaya Ke, Chacha Agar Ho Sake To Rozana Ye Namaz Padhna Warna Hafta[week] Me Ek Martaba Ya Mahine Me Ek Martaba Ya Saal Me Ya (kam se kam) Zindagi Me Ek baar Zaroor Parhna
Ref.: Abu Dawood, Ibn e Maja
Namaz Ka Tarika :
Is namaz mein humko kul 300 baar ye tasbeeh padhna hai سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ (subhan allahi wal hamdu lillahi walai laaha illallaahu wallahu akbar), ye kaise aur kaha padhege uska tarika dekhiye.
Ye namaz nafal namaz hai, is ki niyat is tarah se kijiye ” Niyat karta hum mein 4 rakat namat nafal, salatut tasbeeh ki, waqt (jo bhi ho kahiye), waaste Allah ke, muh mera kaaba sharif ki taraf. Allahu akabar kehkar haath baandh lijiye, ab sana padhiye. sana ke baad 15 baar ye tasbeeh padhiye سُبْحَان اللهِ وَ الْحَمْدُ لِلّهِ وَ لآ اِلهَ اِلّا اللّهُ وَ اللّهُ اَكْبَرُ (subhan allahi wal hamdu lillahi walai laaha illallaahu wallahu akbar). iske baad Alhamdu Sharif aur quran ki ek surah padhenge, phir 10 baar yahi tasbeeh padhenge aur Allahu akbar kehkar ruku mein chale jayenge, ruku ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar upar batai tasbeeh padhenge, phir ‘Sami allahuleman hamida’ kehkar ruku se khade ho jayenge aur 10 baar wahi tasbeeh padhenge, phir Allahu akbar kehkar sajda mein chale jayenge, sajda ki tasbeeh padhneke baad phir upar batai tasbeeh 10 baar padhenge phir pahle sajde se Allahu akbar kehar uth jayenge, ab yaha 10 baar tasbeeh padhenge, aur Allahu akbar kehkar dusre sajda mein chale jayenge, dusre sajda mein bhi sajda ki tasbeeh padhne ke baad 10 baar wahi tasbeeh padhenge, phir Allahu akbar kehte hue dusri rakat ke liye khade ho jayenge, ab alhamdu sharif se pahle 15 baar tasbeeh padhenge. Isi tarah dusri rakat puri karenge, dusri rakat mein dusre sajda ke baad kaida mein (attahiyat) ke liye beth jaayenge aur attahiyaat padh kar teesri rakaat ke liye khade ho jayenge, teesri-chowti rakat bhi isi tarah puri karenge.
Is tarah puri namaz mein kul 300 baar tasbeeh ho jayegi, agar galti se kahi tasbeeh padhna bhool gaye, jese agar ruku mein tasbeeh padhna bhool gaye to ruku se khade hokar 20 tasbeeh padh lijiye.
Tasbeeh ko yaad rakhne ke liye ungli par mat giniye, balki aesa tarika nikaliye taaki dekhne waale ko ye na lage ki gin raha hai (yaani ungli dabakar ya koi aur tarika chun sakte hain.
Namaz Aaram se padhiye, aur tasbeeh ke pure lafz ada kijiye, jaldi-jaldi mein lafz galat ada ho sakte hain, Namaz ke baad
Allah se apne gunaho ki maafi maangiye.
Note: Is namaz mein jo gunaho ki maafi ki baat hai, usse matlab chhote (sagira) gunah hain, kyonki kabira (bade) gunah Allah se bager maafi maange maaf nahi hote, aur kuch gunah aese hain, jab tak wo insan humko maaf na kare jiske saath humne kuch bura kiya hai, tab tak Allah bhi maaf nahi karta,
Isliye namaz ke baad Allah se apne kabira gunaho ki ro-ro kar maafi maangiye aur rona na aaye to rone jesi awaz aur muh banaiye, aur un gunaho ko aage na karne ka pakka irada kariye. Aur jiske saath humne kuch bura kar diya tha usse bhi maafi maangiye.
So, Dosto Abhi Shab e Barat Aa Rahi He, Badi Fazilat Waali Raat he, Is Raat Me Ye Namaz Zaroor Padhen,
Aur is namaz ko Ramzan mein bhi khas taur se pahdiye. Aur jab bhi time mile isko padh sakte hain.
Allah Hum Sab Ko Ye Namaz Padhne ki Taufeeq Ata Farmaye Aamin.

Via : Facebook

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)