Islamic Blog

ek hadees me huzur sallallahu alayhi wasallam ne farmaya k
shabaan mera mahina he or ramdan ALLAH ka mahina he.
sach me shaban khub barkat wala mahina he .
ek baar huzur sallallahu alayhi wasallam bethe the.
itne me mshur sahabi hazrat usama bin zaid radiyallahu ta’ala anhu waha aaya
or kaha : ya rasulallahu ! sallallahu alayhi wasallam aap shaban me k mahine me dusre mahino se ziydah roze q rakhte ho?
aap ne farmaya : usama ! shaban bahot barkat wala mahina he lakin log uski fazilat se gafil he
ye mahina rajab or ramdan k bich me he.
ye mahine me bande k aa’amal bargahe ilahi me pesh kiye jate he .
roza ki halat me mere aa’amal ALLAH ki bargah me pesh kiye jaye wo baat muje bahot pasand he.is liye me is mahine dusre
mahino se ziyadah roza rakhta hu.
ye mahine me ek raat aati he jisko shabe barat kehte he
shabe barat 14 tarikh or 15 tarikh k bich ki raat ku kehte he.ye khub barkat wali raat he .
is raat me ALLAH RABBUL IZZAT ki taraf se rahmate or barkate barish ki tarah girti he.is liye ise ” shabre rahmat ” or ” shabe barkat ”
bhi kehte he.
ahadees me is raat ki bahot fazilat aai he.
ek haade me he k ek baar huzur sallallahu alayhi wasallam ne shaban ki 15 raat ku hazat aaisha siddika radiyallahu ta’ala
anha ku pucha :aaisha ! jante ho is raat me kya barkate utarti he.?
unhone kaha “ya rasulallah sallallahu alayhi wasallam kya barkate uuatrti he ?
aapne farmaya is raat me pure saal k darmiyan peda hone wale or mout hone walo ka list banaya jata he.
or kis ko kitni rozi milegi wo bhi likh diya jata he.
is raat k bare me qura’an majid me bhi zikar he.
qura’an majid me ek jagah ALLAH ne farmaya hamare hukam se is raat ku hikmat wala kaam diya gaya he.
shabe barat me ibadat karne ki bahot fazilat he.
ek hadees me he k is raat me namaz padho or din me roza rakho.
isi liye is raat ku namaz padho, ALLAH ka zikar karo,ALLAH ki bandagi karo ,salatuttasbih ki namaz padhe
,gunaho ki tauba karo or din me roza zarur rakhe.
shaban mahine ki 15 tarikh ku roza rakhna mustahab he.
ek rivayat me he k is raat me kabila qalb ki bakri o k baal barabar jahannam se logo ku aazad kiya jata he.
lakin kitne badnasib is sa’adat se mahrum reh jate he.
isme mushrik ,keena rakhne wala , maa-baap ka nafarman ,sharabi ,rishta todne wala or takno se niche payjama ,pent, pehennewala
is raat ku ho sake to qabristan jake murdo ku isale sawab bhi karna chahiye q k hamare nabi sallallahu alayi wasallam
bhi ek baar is raat ku qabristan gaye the
ALLAH HAM SAB KU IS RAAT KU IBADAT KARNE KI TAUFEQ ATAA FARMAVE OR HAMARE UPER KHUB BARKAT
ATAA FARMAAVE AAMIN.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm