Islamic Blog

Shadi Shuda mard aur shadi shuda khawateen ko chahiye ki wo apni shadi shuda zindagi me har us baat jisse jhaghda hone ka dar ho us har ek baat ko lekar unhai chahiye ki wo sabse pehle SABR kare, Apni life ki har ek baat ek-dusre se share kare, Apni life me jo bhi achhe bure halat guzre ho wo ek dusre se share kare taaki wo ek dusre ko achhe se samj bhi lenge, dono ko chahiye ki wo ek dusre se pyar aur mohabbat se pesh aaye, Shohar ko chahiye ki wo apni biwi ko khush rakhe, unhai samje, unhai bura bhala na kahe, un par zulm na kare,
Nabi e karim muhammad s.a.w ne farmaya Aurat thedhi pasli se paida ki gayi wo thedhi hi rahegi tum unhai shidhi karne jaoge to wo tut jayegi, aisa nahi ki sidhi naa ki jaye karo unhai samjao unki deeni tarbiyat karo lekin HIQMAT se,
Allah farmata hai Quran me ki aurat tumhari kheti hai tum unahai jab chaho istemal kar sakte ho.

Khawateen ko chahiye ki wo apne shohar ki ita’at kare, unhai har pal khush rakhe, Shohar jab bhi bulaye to unhai naraz na kare fouran unke paas chahle jaye, unka kabhi dil na dukhaye, shohar jab apni biwi ko apne paas bulaye aur biwi uske paas na jaye to us aurto par allah ki lanat hai, jis aurat ne apne shohar ka subah me dil dukhaya to subah se lekar raat tak 70,000 hajar farishtey us aurat par lanat barsate hai aur raat me dil dukhaya to raat se lekar subah tak 70,000 farishtey us aurat par lanat barsate hai,
nabi e karim muhammad s.a.w ne farmaya agar me allah ke baad kisiko sajda karne ko kehta to us biwi ko kehta ki apne shohar se sajda kare,

ALLAHU AKBAR…. jis biwi ne apne shohar ka dil dukhaya goya allah ka dil dukhaya, aur jis biwi ne apne shohar ko khush kiya goya allah ko khush kiya.

NOTE-1: jis shohar-biwi ke bich kuch an-ban ho jaye to unhai chahiye ki wo sabr kare agar baat bigadti ja rahi ho to thode waqt ke liye ek-dusre se dur ho jaye matlab kuch ghanto ke liye, fir wo koi time fix kare aur baith kar mamla sulazane ki koshish kare, yahi waqt hota hai samjne ka jo shohar-biwi darguzar karle unki shadi-shuda zindagi qamyab ho jayegi,

NOTE-2: Aur jo shohar-biwi mamla naa sulzaye sake aur upar se mamla bigadta hi jaye to unhai chahiye ki wo jald se jald apne ghar ke 2 ya 3 buzurg matlab shohar ki taraf se bade buzurg aur aurat ki taraf se bade buzurg aamne saamne baith kar un shohar-biwi ko samne bitha kar mamla sulaza le yahi behtar hoga kyu ki ye me nahi kehta ye allah ka farman hai surah bakarah me,

NOTE-3: shadi-shuda zindagi me agar mamla itna bigad gaya ho ki ek dusre ke saath ek pal bhi zindagi guzarna pasand naa kare to unahi chahiye ki wo jald se jald faisla le liya kare,

NOTE-4: ek baat zindagi me jarur yaad rakhe Aap shohar-biwi ek-dusre se jitne dur rahenge utni duri apke bich badhti hi jayegi, agar aap ye sochenge ki dur reh kar hi kuch badlav aayenge, dur reh kar hi kuch bhala hoga, dur rehkar hi zindagi behtar ban jayegi, dur rehkar hi ek dusre me changs aayenge to ye Aap galat soch rahe ho bilkul galat kyu ki ye HADEES bhi aap sunlo.

sheyan ke sardar jo sabka bada hota hai wo sabhi sheytan ko jama kar ke puchta hai batao mere bhayio aaj tumne sabse achha kya kaam kiye???
to ek khada hota hai kehta hai maine fala insaan ko chori karwa kar gunah me daal diya, to sardar kehta hai baitha jao tumne kuch bada kaam nahi kiya,
fir dusra khada hota hai ki maine fala insan ko uski namaz chhudwa di wo namaz jane ko nikla tha maine behka diya aur namaz nahi padh paya, to sardar bolta hai tum bhi baith jao tumne koi bada kaam nahi kiya,
fir tisra khada hota hai sardar maine do miya-biwi ke bich jhghda karwa diya aisa jhghda karwaya ki wo dono aise dur ho gaye ki unke bich talaq tak ho gayi, tab sardar khada hota hai aur khush hokar bolta hai ye tumne sabse bada kaam kiya hai mere bhai….fir wo sardar us sheytan ko khudka taaj tohfe me deta hai,

is hadees ko aap apni zindagi me har lamha har pal ke liye apne zahen me fit kar lena ye hadees se muraad…. shadi-shuda zindagi qamiyab hai agar is hadees ko sun kar, samj kar, ibrat haasil kaarke amal kiya jaye…

Aakhir me DUA hai ki ALLAH har musalman mard aur aurat ko ek dusre ko samjne ki, ek dusre se pyar mohabbat karne ki, ek dusre ko achhe akhlaq apnane ki, aur ek-dusre ko deen par qayam rehne ki TOUFIQ Ataa farma…..Aameen Ya Rab…..

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm

One Response