Shafa’ate Ambiya Wa Awliya Wa Olma🔳
✔Hadees No. 1
Hazrate Jaabir Ibne Abdullah Se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Har Nabi ko ek maqbool dua mangne ka haq diya gaya jo unhone apni ummat ke liye maang li aur Maine Apni is makhsoos dua ko Baroze Qayamat Apni Ummat ki shafa’at ke liye Bacha Rakha hai
📓 Muslim Jild 1 Safa 112
✔ Hadees No. 2
Sayyedna Usmane Gani رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya baroze Qayamat 3 qism ke log Shafa’at farmayenge pehle Ambiya Fir Olma Fir Shohada
📙 Ibne Maaja Zikre Shafa’at Safa 330
📓 Mishkat Safa 494
✔Hadees No. 3
Hazrate Imran Ibne Haseen رضي الله عنه se marvi hai ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya ki Meri Shafa’at se kuch log Jahannam se Nikaale Jayenge Aur Jannat mein dakhil honge aur Jannat mein Inka Naam Jahannam Wale Hoga ( Yani Jahannam se Aane wale )
📕Bukhari Jild 2 Safa 971
➡ Yaani Log Jahannam Mein dakhil Ho jayenge Iske Baad bhi Shafa’at Jaari Rahegi Yahan Tak ke Aap ﷺ ki Shafa’at Se jo log Jahannam mein jaa chuke honge wo waha se Nikal kar Jannat mein Laaye Jayenge
🌴 Hisaab ka Din kathin to hoga Magar Hume Unka Aasara Hain
Wo Aa Hi Jayenge Bakshwane Shafa’at Unko Ataa Hui Hain 🌴
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021