Islamic Blog

26 Zil-Hajj (23 Hijri) ko Wednesday ke Din Khalifa-e-Sani, Ameer-Ul-Momineen, Hazrat Sayyadinah Umar Farooq (Radi Allahu Anha) Par Ek Irani (Firoz Abu Lu Lu) Majoosi (Aag ki Pooja Karne Wala) ne Masjid me Hamla kiya Tha. Aur Aap Ka Wisal 1/Muharram-Ul-Haram ko Huwa.

HAZRAT UMAR FAROOQ KI KUCH FAZILAT AUR MANAQIB:
1) Hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ne farmaya – Agar Mere Baad Koi Nabi Hota To Woh Umar Hote.
(Lekin Allah Ne Rasoolallah [Alaihissalam] ko Aakhri Nabi banakar Is Duniyah me Bheja Hain)
2) Hazrat Umar ko, Hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ne Allah se dua karke maanga tha.
2) Jis Raaste se Hazrat Umar (Radi Allahu Anha) Guzarte To Shaitan Woh Raasta Chhod Deta tha.
3) Hazrat Umar (Radi Allahu Anha) ki Zubaan Par Allah ne Haq Baat ko Jaari Farma Diya hai.
4) Hazrat Muhammad (sallallahu alayhiwasallam) ne farmaya Mere Baad Tum Log Hazrat Abu Bakr (Radi Allahu Anha) aur Umar Farooq (Radi Allahu Anha) ki Iqteda (Follow) Karna.
5) Quran ki 27 Ayat Hazrat Umar ki Raaye (Comments) Par Nazil Huwi. Matlab jesa quran utarne wala tha, unke dil mein Allah wo baat pahle hi daal deta tha.
6) Khana-e-Ka’aba Me Sab se Pehle Islam ka Naam Hazrat Umar ne Buland Kiya Tha.
7) Hazrat Umar ne San-e-Hijri (Islamic Year) ki Shuruat Ki Thi.
8) Mulk me Mukammal Adalati Nizam ki Bunyaad Hazrat Umar ne Sab se Pehle Rakhi.
9) Hazrat Umar ne Sharab Pine wale ki Saza 80 Kaude Rakhi.
10) Islamic Country ke khaas Markaz par Hazrat Umar ne Fauji Camp ki Buniyad Rakhi Aur Faujiyon ki Salary bhi Rakhi Gayi.
11) Shahar mein sukun Rakhne ke Liye Sab se Pehle Hazrat Umar Farooq Ne Police ka Nizam Rakha Tha.
12) Fajr ki Azan me “Assalatu Khairum-Minan-Naum” (NAMAZ NEEND SE BEHTAR HAI) ke Alfazz ka Izaafa Hazrat Umar ne Kiya.
13) Sharai Masa’il ko Hal karne ke liye Hazrat Umar Farooq ne Ek Parliament ki Bunyaad Rakhi Jis me Mardo ke Saath Aurto ko Bhi Bolne Ka Haq diya Gaya.
14) Hazrat Umar ne Zamane ke Halaat ko Dekh kar Masjid me Aurto ke Aane par Pabandi Lagayi.
15) Aap raat ko chup-chaap gasht karte the aur pata lagate the ke meri khilafat mein koi pareshan/majboor to nahi hai.
15) Hazat Umar Ne 22 Lakh Square Miles Zameen Par Taqreeban 10 Saal, 6 Mahine Aur 10 Din Tak Khilafat Ki Aur Us me 3600 Ilaaqe ko Fateh Kiya, Aur Aap ne Taqreeban 900 Ja’ama Masjid Aur 4000 Choti Masjid ka Qiyaam kiya.

AAJ HI KE DIN HAZRAT UMAR PAR HAMLA HUWA THA AUR AAP KO RASOOLALLAH (ALAIHISSALAM) KE PEHLU ME MASJID-E-NABAVI ME DAFAN KIYE GAYE.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)