Islamic Blog

JaB Karbala K Taptey Huey Maidaan Me Imaam Hussain Ki AulaaD Aur Bhai Aur Saathi ShaheeD Ho’Gaye To
Jang Ladney Ko Akeley HUSSAIN Bachey Thy
Tab Imaam Hussain Ne Zulfiqar Talwaar Ko Uthaya Aur Yazeedi Lashkar Pe Sher Ki Tarah Waar Kartey Gaye Us Waqt Ka Manzar Taareekh Me Likha Gaya Hai K Jis Taraf Imaam Hussain Rukh Kar Rahe Thy Us Taraf
Se Yazeedi Bhaag Rahe Thy Imaam Hussain K Khof Se Koi Yazeedi Jang K Liye Saamney Aaney Ko Taiyaar
Na Tha Phir Sab Ek Sath Hamla Karne
Lage Imaam Hussain Pe
Lekin Itne Zakham Khaaney K BaaD
Aur AulaaD Aur Bhaiyon Aur
Saathiyon K Lashen Uthaney K Baad
Aur 3 Din Ki Piyaas K BawajooD
Imaam Hussain Ne Himmat Na Haari
Thi..
Wo Waar Pe Waar Kartey Gaye Un Ki Talwaar Ki
Chamak Poorey Maidaan
Pe Zaahir Thi
Taareekh Islam Me Ye Baat Bayan Hai K Imaam
Hussain Ne Kabhi Apne
Godey ‘Zuljanah’ Pe Beth K Jang Ki To Kabhi
Paidal Jang Ki, Har Taraf Se
Imaam Hussain Pe Teer Chalaye Gaye Aur
Unhoney Kaafi Zakham B Khaaye
Lekin Jang Se Peechey Na Hattey…
Halakey Yazeedi Lashkar Imaam HUSSAIN Se
Shuru Se Keh Rahe Thy K
Yazeed Bin Muaviya Ki Baiyat Karo To
Ham Tumhe Yahan Se Jaaney Dengey
Par Sayedna Hussain Farmatey Rahe K
“Sar Dengey Par Baiyat Nahi
Karengey”
Imaam Hussain Laga’Taar Ladtey Rahe Aur Un
Ka Poora Jism Aqdas
Khoon Me Tar Ho Chuka Tha
Imaam Hussain Apne Godey ‘Zuljanah’ Pe
Sawar Ho K Jang Kar Rahe Thy K Namaz-e-Asar
Ka Waqt
Hogaya Tab Baaz Riwayaton K
Mutaabiq Gaib Se Aawaz Aayi K
‘HUSSAIN Bas Karo Jannat Tumharey
Intezaar Me Hai HUSSAIN Bas Karo’
Imaam Hussain Tab Namaz K Liye Apne Godey
‘Zuljanah’ Se Utar B Nahi
Paa Rahe Thy Kyun K Un K Jism Pe Har Jagah
Zakham Hi Zakham Thy Tab
Zuljanah Khud Neechey Jhuk Gaya To Imaam
Hussain Utrey…
Tab Shimr Laanti Un K Paas Aaya To Imaam
Hussain Ne Farmaya Aey
Shimr.!
Mujhe Kuch Waqt Dey K Mein Namaz Ada
Karun, Mein Apne RAB Ko
Raazi Karun Is Pe Shimr Hairaan Reh Gaya K Is
Waqt Me B HUSSAIN Namaz
Adaa Karne K Liye Tadap Raha Hai,
Shimr Laanti Ne Kaha Theek Hai Namaz Padh Lo
HUSSAIN Jesa Namazi Na Kabhi Zameen Ne
Dekha Na Kabhi Aasmaan
Ne Dekha, Na Kisi Insan Ne Dekha Aur Na Kisi
Jinn Aur Farishtey Ne Jo
Apne Hi Khoon Se Wuzu Kar Raha Ho Imaam
Hussain Ne Apni Namaz Shuru Ki Aur Yazeedi
Lashkar Ne Chaaro Taraf Se Unhe Gher Liya Tha
Jisey Hi
Imaam Hussain Sajdey Me Gaye Us
Waqt Shimr Laanti Ne Khanjar Se Un
K Sar Ko Kaatt Diya Wo Manzar Bibi
ZAINAB Ne Apni Aakhon Se Dekha Aur
Bhai Ko Zibah Hotey Huey Dekh K Wo
Behosh Ho’Gayi..
Waah Hussain Aap K Sabar Ko SaLam Mere
Moula
Aap Ki Qurbani Ko SaLam..
Ye Shahadat Ka Waaqiya Short Me Hai Asal Me
To Hamen Itni Taaqat
Nahi K Ham Wo Manzar Poora Bayaan Kar
Paayen..
Aakhir Me Ham Bibi ZAINAB K Alfaaz
Bayaan Karna Chahtey Hain K Jab Imaam
Hussain Jang K Liye Khemey Se
Nikal Rahe Thy To Bibi Zainab Ne Rotey Huey
Kaha Tha “Aey Mere Bhai
Mein Terey Kafan Ka Intezaam Kese
Karungi K Madina Bohot Door Hai”
SaLam Ya HUSSAIN..
(AHLE HUSSAIN).

Allah hamare Dil me bhi Namaaz ki aaisi tadap paida kare or hame pancho waqt ki Namaaz ba-jamaat ada karne ki Toufeek de.
Aameen.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)