Islamic Blog

HADITH:
======
ABU DAWOOD wa TIRMIZI wa IBN-E-MAJA wa DAARMI
ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU se rawi hai ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya jis per qai ne ghalba kiya us per qaza nahi aur jisne qasdan qai ki usper ROZA ki qaza hai

ROZA TUTNE KI UN SORTON KA BAYAN JINME SIRF QAZA LAZIM HAI!!!
==================================================

MASLA:
======
Ye guman tha ki abhi subha sadik shuru nahi hue isliye khaya ya piya ya jima’a kiya baad ko maloom hua ki subha ho chuki thi to ROZA na hua aur sirf qaza lazim hai!
(DURR-E-MUKHTAR-KANO­ON-E-SHARIYAT PAGE NO.179)

MASLA:
=======
Khane pine par majboor kya gya yani ikrahe sharyat ( yani koi daraye dhamkaye ki agar ROZA na todega to mar dalunga) paya gya agarche apne hath se khaya ho to sirf qaza lazim hai yani us ROZA ke badle ek ROZA rakhna padega!!
(BARAH–SHARIYAT -KANOON-E-SHARIYAT PAGE NO.179)

MASLA:
======
Bhulkar khaya piya jima’a kiya tha ya nazar karne se inzal hua tha ya ehtelam hua ya qai hue aur un sab surton me ye guman kiya ki ROZA jata raha ab is guman per fir kasdan khaya piya to sirf qaza farz hai!!
(DURR-E-MUKHTAR-BAHA­R-E-SHARYAT -QANOON-A SHARYAT PAGE NO. 179)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm