Islamic Blog

MASLA
======
Jo maal kisi par dain ho uski zakat kab wajib hoti hai aur ada kab wajib hai isme teen surten hai
Agar dain qawi ho jaise qarz jise urf me dast garda( qarz hi ke mana me aya hai)
Kehte hai aur maal e tijarat ka samaan maslan koi maal isne ba-niyat e tijarat kharida use kise ke hath udhar bech dala ya maal e tijarat ya kiraya maslan koi makaan ya zameen ba-niyat e tijarat kharidi use kisi ko sukoonat ya kheti ke liye kiraye par de diya ye kiraya agar us par dain hai to daine qawi hoga aur dain-e-qawi ki zakat bahalat-e-dain hi saal ba saal wajib hoti rahegi magar wajib ul ada us waqt hai jab panchwa hissa nisab ka wasool ho jaye magar jitna wasool hua utne hi ki wajibul ada hai yani 40 dirham hone se ek dirham dena wajib hoga aur agr 80 wasool hue to do(2) aur isi tarah age samajh le dusre dain-e-mutawassit ki kisi maal- e- gair- e- tijarati ka badal ho maslan ghar ka galla ya sawari ka ghoda ya khidmat ka gulam ya aur koi shai hajat e asliya ki bech dali aur daam kharidaar par baki hai is surat me zakat dena us waqt lazim ayega ke 200 dirham par kabza ho jaye. Yu hi agar muris (wo marne wala jo maal aur waris choor jaye) ka dain isi tarke me mila agarche maal e tijarat ka Ewaz( badal) ho magar waris ko do sau(200) dirham wasool hone muris ki maut ko saal guzarne par zakat lazim ayega. Tisra
Dain-e-zaeef jo gair-e-maal ka badal ho jaise maher-e-badal khula(talaq par mila rupiya) diyat (qatl ke badle mila jurmana) badle qitabat( gulami se azad karne par mila rupiya) ya makan ya dukan ki ba niyat e tijarat khareedi na thi uska kiraya kiraye daar par chadha isme zakat dena us waqt wajib hai ki nisab par qabza karne ke baad saal guzar jaye ya iske paas koi nisab us jins ki hai aur uska saal pura ho jaye to zakat wajib hai fir agar dain ya mutawassit kai saal ke baad wasool ho to agle saal ki zakat jo iske zimme dain hoti rahi wo pichle saal ke hisab me isi rakam par dali jayegi maslan umr par zaid ke 300 dirham dain e qawi the panch(5) baras baad 40 dirham se kam wasool hue to kuch nhi aur 40 wasool hue to ek dirham dena wajib hua. Ab 39 baki raha ki nisab ke panchwe hisse se kam hai lihaza baki barso ki abhi wajib nahi aur agar 300 dirham dain e mutawassit the to jb tak 200 dirham wasool na ho kuch nahi aur panch baras baad 200 wasool hue to 21 wajib honge saal e awwal ke panch ab saal e doum me 195 rahe inme se 35 ki panchwe hisse se kam hai muaf ho gaye 160 rahe iske 4 dirham wajib lihaza tesre saal me 191 rahe inme bhi 4 dirham wajib chaharrum me 187 aur panjum me 183 rahe inme bhi 4-4 dirham wajib lihaza kul 21 dirham wajib ul ada hue
DURRE MUKHTAR, RAHUL MUHTAR, WAGAIRHUMA)

MASLA
======
Agar dain se pehle saal e nisab rawan tha yani jari tha to jo den asnaye saal me yani saal ke bich me kisi par lazim aya iska saal bhi wahi qaraarr diya jayega jo pehle se chal raha hai waqte dain se nahi aur agar dain se pehle is jins ki nisab saal e rawan nahi to waqt dain se shumar hoga
(RUHUL MUHTAR)

MASLA
======
Kisi par dain qawi ya mutawassit hai aur qarz khwa ka inteqal ho gaya ho gaya to marte waqt is dain ki zakat ki wasiyat zaruri nahi ki iski zakat wajibul ada thi hi nahi aur waris par zakat us waqt hogi jab muris ki maut ko ek saal guzar jaye aur 40 dirham dain ek qawi me aur 200 dirham den e mutawassit me wasool ho jaye
(RAHUL MUHTAR)
MASLA
======
Saal pura hone ke baad daa’in (karz dene wala ) ne dain maaf kar diya ya saal pura hone se paihle zakaat ka maal hiba kar diya to zakat saqit ho gyi.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 31-32)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm