HADITH
———-
IBN-A-KHUZAIMA ne ABU MASOOD GAFFARI RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se ek taweel HADITH riwayat ki usme ye bhi hai ke HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya agar bando ko maloom hota ke RAMDAAN kiya chiz hai to meri ummat tamanna karti ke pura saal RAMDAAN hi ho.
MASLA
———–
Sote me pani pi liya ya kuch kha liya ya muh khula tha aur pani ka qatra ya ola halq me ja raha roza jata raha.
MASLA
———-
Dusre ka thook nigal gya ya apna hi thook hath per lekar nigal gya roza jata raha.
MASLA
———-
Ansu muh me chala gya aur nigal liya qatra 2 qatra hai to roza na gya aur ziyadah tha ke uski namkeeni pure muh me mahsos hue to jata raha. Paseene ka bhi yahi hukm hai .
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 PAGE NO 85)
MASLA
———-
Muh me rangeen dora rakkha jisse thook rangeen ho gya fir thook nigal liya to roza jata rha.
MASLA
———–
(QANOON-A-SHARYAT page no 178)
Post ko share kijiye apki wajah se bahut se bhai bahno ki islaah ho jayegi.ALLAH ke fazl o karam se ye post ap tak pahuche ab aap ki zimmedari hai ke inhe age pahuchaye
- Shab E Barat Kya Hai - 5th March 2022
- Health Tips Hindi - 4th January 2021
- Ramadan Hadith - 4th January 2021