Islamic Blog

HADITH
———–
HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se marwi hai ke RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya (A LOGO !) roze rakkha karo ,sehatmand ho jaoge.
(TIBRANI)
MASLA
Sehri khana aur isme dair karna SUNNAT hai magar itni dair karna makrooh hai ke subah saadiq shuru ho jane ka shaq ho jaye.
MASLA
Iftaar me jaldi karna SUNNAT hai magar iftaar us waqt kare jab suraj doob jane ka itminan ho jaye. Jab tak itminan na ho iftaar na kare chahe muazzin ne AZAAN kaih di ho aur badal ke din iftaar me jaldi na chahiye .
MASLA
Toop aur naqqara ka saihri wa iftaar me us waqt aitbaar hai jabki kisi parhezgaar muhaqqiq AALIM TAOQITADA(Aoqaat-a-NAMAZ ka ilm rakhne wala) ke hukm per chale baje .aaj kal aam ulema bhi is fan se nawaqif hai aur jantariya bhi aksar galat hoti hai un per amal jayez nahi ha agar kisi deendaar ilme taoqeet ke mahir aalim ka banaya hua naqshaye saher wa iftaar ho to is per amal ho sakta hai .
(QANOON-A-SHARYAT 185-186)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)