Islamic Blog

MASLA
======
Nisab se zyada maal hai to agar ye zyadti nisab ka panchwa hissa hai to iski zakat bhi wajib hai maslan do sau chalees (240) dirham yani tirsat(63) tola chandi ho to zakat me che(6) dirham wajib yani ek(1) tola che(6) masha 7. 1/5 ratti yani bawan(52) tola che(6) masha ke baad har 10 tola 6 masha per 3 masha 1. 1/5 ratti badhe aur sona nau(9) tola ho to 2 masha 5. 3/5 ratti yani 7 tola 6 masha ke baad har ek tola 6 masha par 3. 3/5 ratti badhe aur panchwa hissa na ho to maaf yani maslan nau(9) tola se ek ratti kam agar sona hai to zakat wahi 7 tola 6 masha ki wajib hai yani do(2) masha yunhi chandi agar 63 tola se ek ratti bhi kam hai to zakat wahi 52 tola 6 masha ki ek tola 3 masha 6 ratti wajib yu hi panchwe hisse ke baad jo ziyadti hai agar wo bhi panchwa hissa hai to uska chaleeswa hissa wajib warna muaf aur isi tarah aage samajh len. Maal e tijarat ka bhi yahi hukm hai.
(DURRE MUKHTAR)
1 masha 8 ratti 922 miligram lagbhag

MASLA
======
Agar sone chandi me khot ho aur ghalib sona chandi hai to sona chandi karar de aur kul par zakat wajib hai yu hi agar khot sone chandi ke barabar hai to zakat wajib aur agar khot ghalib ho to sona chandi nahi fir uski chand surte hai agar usme sona chandi itni miqdar me ho ki juda kare to nisab ko pahunch jaye ya wo nisab ko nahi pahuchta magar us ke pas aur maal hai ki us se milkar nisab ho jayegi ya wo saman ( qimat ke badle diye jane wale maal ya paisa) me chalta hai aur uski qeemat nisab ko pahuchti hai to in sab suraton me zakat wajib hai aur agar in surton me koi na ho to us me agar tijarat ki niyat ho to basharaiyate tijarat use maal e tijarat karar de aur uski qimat nisab ki kadr ho khud ya auron ke sath milkar to zakat wajib hai warna nahi
(DURRE MUKHTAR)
MASLA
======
Sone chandi ko baham khatam kar diya yani ek dusre me mila diya to agar sona ghalib ho sona samajha jaye aur dono barabar ho aur sona bakadre nisab hai tanha ya chandi ke sath milakar jab bhi sona samjha jaye aur chandi ghalib ho to chandi hai nisab ko pahuche to chandi ki zakat di jaye magar jabki usme jitna sona hai wo chandi ki kimat se zyada hai to ab bhi kul sona hi karar de.
(DURRE MUKHTAR, RAHUL MUHTAAR)
MASLA
======
Kisi k pas sona bhi hai aur chandi bhi aur dono ki kamil nisabe hai to ye zaruri nahi ki sone ko chandi ya chandi ko sona karar de kar zakat ada kare balki har ek ki zakat ahlaida-ahlaida wajib hai. Han zakat dene wala agar sirf ek cheez se dono nisabo ki zakat ada kare to use ikhtiyar hai magar is surat me ye wajib hoga ki kimat wo lagaye jisme fakeeron ka zyada nafa ho maslan hindustan me rupye ka chalan ba nisbat ashrafiyon ke zyada hai to sone ki kimat chandi se laga kar chandi zakat me de aur agar dono me se koi bakdre nisab nahi to sone ki kimat chandi ya chandi ki kimat ka sona farz kar ke milaye fir agar milane par bhi nisab nahi hoti to kuch nahi aur agar sone ki kimat ki chandi me milaye to nisab ho jati aur chandi ki kimat ka sona sone me milaye to nahi hoti ya bila’aks (yani iska ulta hai) to wajib hai ki jis me nisab puri ho wo kare aur agar dono surton me nisab ho jati hai to ikhtiyar hai jo chahe kare magar jabki ek surat me nisab par pacnhwa hissa badh jaye wahi karna wajib hai maslan sawa chabbees tola chandi hai aur paune chaar tola sona agar paune chaar tole sone ki chandi sawa chabbees tole ati hai aur sawa chabbees tole chandi ka paune chaar tole sona ata hai to sone ka chandi ya chandi ko sona ji chahe tasawwur kare aur agar paunee char tole sone ke badle 37 tole ati hai aur sawa chabbees tole chandi ka paune chaar tole sona nahi milta to wajib hai ki sone ko chandi kara de ki is surat me nisab ho jati hai balki panchwa hissa zyada hota hai aur us surat me nisab bhi puri nahi hoti yu hi agar har ek ki nisab se kuch zyada hai to agar zyadti nisab ka panchwa(fifth part) hissa hai to iski bhi zakat de aur agar har ek me zyadti panchwa hissa nisab se kam hai to dono ko milaye agar mil kar bhi kisi ki nisab ka panchwa hissa nahi hota to is zyadti par kuch nahi aur agar dono me nisab ya nisab ka panchwa ho to ikhtiyar hai magar jabki ek me nisab ho aur dusre me panchwa hissa to wo kare jisme nisab ho aur agar ek me nisab ya panchwa hissa hota hai aur dusre me nahi to wahi karna wajib hai jisme nisab ho ya nisab ka panchwa hissa
(DURRE MUKHTAR, RAHUL MUHTAAR, WAGAIRHUMA)
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 29-30-31)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm