Islamic Blog

FAZILAT AUR IBADAT SHAB-A-QADR
=============================
HAZRAT ANAS IBN E MALIK RADI ALLAHU TA’ALA ANHU ne farmaya: ki jab ramzan ka mahina shuru hua to NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:ki ye mahina tum me aya hai.aur isme ek raat aisi hai jo hazar mahino se acchi hai to jo shaqs iski barkato se mahroom raha wo tamam bhalaio se mahroom raha aur nahi mahroom rakkha jata iski bhalaio se magar wo jo bilkul be nasib ho.
(ibn e maja)
IBADAT
======
NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM IRSHAD FARMATE HAI :meri ummat maise jo mard ya aurat ye khwaish kare ki uski qabr noor ki raoshni se munawwar ho to use chahiye ki ramzan ki shab e qadro me kasrat ke sath ibadat e ILAHI BAJA laye taqi un mubarak rato ki ibadat se ALLAH pak uske naam e amal se buraiya mita kar nekiyo ka sawab ata farmaye ,shab e qadr ki ibadat 70.000 hazar shab ki ibdato se afzal hai 21 v shab ko 4 rakat 2 salam se pade her rakat me baad sureh fatiha ke sureh qadr 1-1 baar sureh ikhlas 1-1 baar pade baad salam ke 70 martaba durood e paak pade ,IN SHA ALLAH TA’ALA is namaz ke padhne wale ke haq me farishte dua e magfirat karenge .
2. 21 shab ko 2 rakat namaz pade her namaz me sureh fatiha ke baad sureh qadr 1-1 baar sureh ikhlas 3-3 martaba padhni hai baad salam ke namaz mukamml karke 70 martaba astgfar pade ,IN SHA ALLAH TA’ALA is NAMAZ aur shab e qadr ki barkat ALLAH PAK uski bakhshish farmayega .
(panj surah)

NOTE: is baat ka khaas dhiyan rakkhe ke in raat me tamam hazraat nafle kasrat ke sath ada karte hai. Jabki Behtar ye hai ke jo NAMAZE unki qaza hue hai wo ada kar le. Aur dusri baat ye ke tamam hazraat aise bhi hai jo ye NAMAZE puch lete hai aur SHAB-E-QADR me jaagte to hai ya so jate hai fir jab saher ka waqt hone wala hota hai uth kar ye NAMAZE ada kar lete hai. Aisa na kare balki in RAATO me puri puri raat ibadat karke apne RAB ko razi kar le.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm