MASLA
======
AI’TEKAF SUNNAT yani RAMDAN ki pichli das tareekhon me jo kiya jata hai usme roza shart hai lihaza agar kisi mareez ya musafir ne AI’TEKAF kiya to magar roza na rakha to sunnat ada na hui balki nafl hua.
(RAHUL MUHTAAR)
MASLA
======
Mannat ke AI’TEKAF me bhi roza shart hai yahan tak ki agar ek mahine ke AI’TEKAF ki mannat mani aur ye kaha. Ki roza na rakhega jab bhi roza rakhna wajib hai aur agar raat ke AI’TEKAF ki mannat mani to ye mannat sahi nahi ki raat me roza nahi ho sakta aur agar yun kaha ki ek din raat ka mujh par AI’TEKAF hai to ye mannat sahi hai aur agar aj ke AI’TEKAF ki mannat mani aur khana kha chuka hai to mannat sahi nahi
(DURRE MUKHTAR , ALAMGIRI)
Yunhi agar zahwae kubra ke baad mannat mani aur roza na tha to ye mannat sahi nahi ki ab roze ki niyat nahi kar sakta balki agar roze ki niyat kar sakta ho maslan zahwae qubra se qabl(pehle) jab bhi mannat sahi nahi ki ye roza nafl hoga aur is AI’TEKAF me roza wajib darkaar.
MASLA
======
Ye zaruri nahi ke khas AI’TEKAF hi ke liye roza ho balki roza hona zaruri hai agarche AI’TEKAF ki niyat se na ho maslan is RAMDAN ke AI’TEKAF ki mannat mani to wahi RAMDAN ke roze is AI’TEKAF ke liye kafi hai aur agar RAMDAN ke roze to rakhe magar AI’TEKAF na kiya to ab ek maah ke roze aur iske sath AI’TEKAF kare aur agar yun na kiya yani roze rakh kar AI’TEKAF na kiya aur dusra RAMDAN aa gaya to is RAMDAN ke roze us AI’TEKAF ke liye kaafi nahi yunhi agar kisi aur wajib ke roze rakhe to ye AI’TEKAF un roze ke sath bhi ada nahi ho sakta balki ab usk liye khaas AI’TEKAF ki niyat se roze rakhna zaruri hai aur agar us surat me ki RAMZAN me AI’TEKAF ki mannat mani thi na roze rakhe na AI’TEKAF kiya ab un rozon ki qaza rakh raha hai to in qaza rozon ke sath wo AI’TEKAF ki mannat bhi puri kar sakta hai
(ALAMGIRI. DURRE MUKHTAR. RAHUL MUHTAAR)
MASLA
======
Nafli roze rakhta tha aur us din ke AI’TEKAF ki mannat mani to ye mannat sahi nahi ki AI’TEKAF wajib ke liye nafli roza kafi nahi aur ye roza wajib ho nahi sakta
(ALAMGIRI)
MASLA
======
Ek mahine me AI’TEKAF ki mannat mani to ye is RAMDAN me puri nahi kar sakta balki khaas AI’TEKAF ke liye roze rakhne honge
(ALAMGIRI)
MASLA
======
Aurat ne AI’TEKAF ki mannat mani to shauhar mannat puri karne se rok sakta hai aur ab ba’in hone ya shauhar ki maut ke baad mannat puri karen. Yunhi laundi, gulam ko unka malik mana kar sakta hai ye azaad hone ke baad puri karen
(ALAMGIRI)
MASLA
======
Shauhar ne ek mahine ke AI’TEKAF ki ijazat di aur aurat lagataar pure mahine ka AI’TEKAF karna chahti hai to shauhar ko ikhtiyaar hai ki ye hukm de ki thode thode karke ek mahina pura kare aur agar kisi khas mahine ki ijazat di to ab ikhtiyaar na raha
( ALAMGIRI)
MASLA
======
AI’TEKAF wajib me moattakif ko masjid se bagair ujr nikalna haram hai agar nikla to AI’TEKAF jata raha agarche bhool kar nikla ho yunhi AI’TEKAF SUNNAT bhi bagair ujr nikalne se jata rehta hai yunhi masjid e bait ( ghar me banai gai wo jagha jo aurat namaz ke liye bana le) me AI’TEKAF wajib ya masnoon kiya to bagair ujr waha se nahi nikal sakti.Agar waha se nikli agarche ghar hi me rahi A’ITEKAF jata raha.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 108-109)
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021