Islamic Blog

MASLA
======
Agar ISHA jamat se padhi aur TARAVIH tanha to VITR ki jamat me shareek ho sakta hai aur agar ISHA tanha padh li aur agarche TARAVIH BA-JAMAT padhi to VITR tanha padhe.
MASLA
======
Agar AALIM HAFIZ bhi ho to afzal ye hai ke khud padhe dusre ki iqtida na kare aur agar IMAM galat padhta ho to MASJIDE mohalla choor kar dusri MASJID me jane me harj nahi yuhi agar dusri jagah IMAM khush awaaz ho ya halki qiraat padhte ho ya MASJIDE mohalla me MUKAMMAL na hoga to dusri MASJID me jana jayez hai.
MASLA
======
KHUSH KHUWA yani acchi awaaz se padhne wale ko IMAM banana na chahiye balki DURUST KHUWA yani sahi QURAAN padhne wale ko IMAM Banaye.
MASLA
======
Muqtadi ko ye jayez nahi ke baitha rahe jab IMAM ruku karne ko ho to khada ho jaye ke ye munafiqo se mushabahat hai yani munaafiqo ka tareeqa hai . ALLAH TA`ALA irshaad farmata hai: munafiq jab namaz ko khade hote hai to thake jee se.
(BAHARE SHARYAT HISSA 3 PAGE NO 31-32)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm