MASLA
======
Agar ek QURAAN PAAK mukammal karna ho to behtar ye hai ke 27 v shab me mukammal ho fir agar is raat me ya iske paihle mukammal ho to TARAVIH aakhir RAMDAAN tak barabar padhte rahe ke SUNATTE MUAKKIDA hai.
MASLA
======
QIRAAT aur ARKAAN ki ada me jaldi karna makrooh hai aur jitni tarteel ziyadah ho behtar hai .yuhi AUJU wa BISMILLAH wa TAMAANIYAT (itminan) wa tasbih ka choor dena bhi makrooh hai.
MASLA
======
Her 4 rakat ek TARAVIH hai .is tarah 20 rakaat me 5 TARAVIH hue.
MASLA
======
Her 4 rakat me itni dair tak baithna MUSTAHAB hai jitni dair me 4 rakate padhe 5 TARAVIH me aur VITR ke dermiyaan agar baithna logo per giraa ho to na baithe.
MASLA
=======
TARAVIH MASJID me BA JAMAT padhna afzal hai agar ghar me JAMAT se padhi to JAMAT ke tark ka gunah na hua magar wo sawaab na milega jo MASJID me padhne ka tha .
(BAHARE-SHARYAT HISSA 4 page no 29-30)
- शब ए बारात की रात में क्या पढ़े | 2022 शब ए बरात का रोज़ा कब रखते है | - 7th March 2022
- Shab-E-Barat Ki Fazilat (शाबान बरक़त वाली रात) - 5th March 2022
- शब ए बारात की नमाज और सलामत तस्बीह (हिंदी) - 5th March 2022