MASLA
======
masjid me ALLAH ke liye niyat ke sath thairna A’ITEKAF hai aur iske liye musalmaan aqil aur janabat wa haiz wa nifas hona shart hai. Buloog shart nahi balki na balig jo tameez rakhta hai agar ba-niyate A’ITEKAF MASJID me thaire to ye A’ITEKAF sahi hai. Azaad hona bhi shart nahi. Lihaza gulaam bhi A’ITEKAF kar sakta hai magar use maola se ijazat leni hogi aur maola ko bairhaal mana karne ka haq hasil hai.
MASLA
======
Sabse afzal MASJID-E-HARAM SHAREEF me A’ITEKAF hai phir masjide NABWI SHAREEF me ALA SAHIBIHIS’SALATU WAT’TASLEEM phir MASJID-E-AQSA me phir usme jahan badi jamat hoti ho
(JOHAR)
MASLA
======
Aurat ko masjid me A’ITEKAF makruh hai balki wo ghr me hi A’ITEKAF kare magar us jagha kare jo usne Namaz padhne k liye mukarrar kar rakhi h jisme MASJID-E-BAIT kehte hai aur aurat k liye Mustahab bhi hai ki ghar me Namaz padhne k liye koi jaghe mukarrar kar le aur chahiye us jagha ko paak saaf rakhe aur behtar ye ki us jagha ko chabutra wagaira ki trah buland kar le balki mard ko chahiye ke nawafil k liye ghar me koi jagha mukarra kar le. Nafil Namaz ghar me padhna afzal hai
( DURRE MUKHTAR, RAHHUL MUHTAAR)
MASLA
======
Agar aurat ne Namaz ke liye koi jaghe mukarrar nahi kar rakhi hai to ghar me A’ITEKAF nahi kar sakti albatta agar us waqt yani jabki A’ITIKAF ka irada kiya kisi jagha ko Namaz ke liye khas kar liya to us jagha A’ITIKAF kar sakti hai.
(DURRE MUKHTAR)
MASLA
======
Khunsa( hijda) MASJID-E-BAIT me A’ITEKAF nahi kar sakta
(DURRE MUKHTAR)
MASLA
=======
Masehnat ke sawab mil raha hai ki fakat niyat kar lene se A’ITEKAF ka sawab milta hai. Ise to na kha’ala :- A’ITEKAF teen kism ke hai
1) wajib :- ke A’ITEKAF ki mannat mani yani zaban se kaha mahez dil me irade se wajib na hoga.
2) SUNNAT-E-MUAQ’EDA ki RAMZAN ke pure ashre akheer yani akhir ke das(10) me A’ITEKAF kiya jaye yani 20vi RAMZAN ko suraj dubte waqt Ba-niyat A’ITEKAF masjid me ho aur 30vi tareekh ko ghroob ke baad ya 29 ko chand hone k baad nikle agar 20vi tareekh ko baad NAMAZ-E-MAGHRIB A’ITEKAF ki niyat ki to SUNNAT MUAQ’EDA ada hui aur ye A’ITEKAF SUNNAT-E-KIFAYA hai ki agar sab tark kare to sabse mutalba hoga aur shaher me ek ne kar liya to sab barri-uz-zimma
3) In dono ke alawa aur jo A’ITEKAF kiya jaye wo MUSTAHAB wa SUNNAT-E-GHAIR MUAQ’EDA hai
(DURRE MUKHTAR)
MASLA
======
A’ITEKAF-E-MUSTAHAB ke liye na ROZA shart hai na uske liye koi khas waqt mukarrar balki jab masjid me A’ITEKAF ki niyat ki jab tak masjid me hai Moattakif hai chala aya A’ITEKAF khatam ho gaya
(ALAMGIRI wagairah)
NOTE:-
Jab bhi masjid me jaye A’ITEKAF ki niyat kar len niyat karte waqt ye kahen ” NAWAITU SUNNATAL A’ITEKAF” aur usk baad thodi dair kuch ibadat bhi zaroor karen aur iske bad jitni dair masjid me rahega utni der ibadat ka sawab payega bagair mona chahiye masjid me agar darwaze par ye ibarat likh di jaye ki A’ITEKAF ki niyat kar lo A’ITEKAF ka sawab paoge to behtar hai ki jo is se nawaqif hai unhe maloom ho jaye aur jo jante hai un ke liye yaad dehani ho.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 570-571)
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021