Islamic Blog

HADITH
=======
HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU se marwi hai ki NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA SALLAM farmate hai jis rozdaar ne bhulkar khaya ya piya hai wo apne roze ko pura kare ki use ALLAH ne khilaya aur pilaya .
(BUKHARI SHAREEF MUSLIM SHAREEF)

MASLA:
======
Musafir ne iqamat ki, haiz wa nifas wali pak ho gyi, pagal ko hosh ho gya, bimar tha accha ho gya jiska ROZA tut gya chahe jabran kisi ne tudwa diya ya galti se pani wagaira kuch halaq me chala gya aur isse ROZA tut gya raat samajh kar sehri khayi thi halaki subha ho chuki thi guroob samajh kar iftar kar liya halaki din baki tha in sab bato me jo kuch din baqi rah gya use ROZE ki tarah guzarna wajib hai aur us din ki qaza bhi lazim hai aur nabalig jo balig hua us per ya kafir tha musalman hua usper din ki qaza to wajib nahi albatta baqi din ROZDAR ki tarah guzarna inhe bhi wajib hai!
(KANOON-E-SHARYAT PAGE NO. 180)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)