Islamic Blog

شقّ صد ر

___@@@___

Hazrat HALIMA ne jab Makka Muazzama pahunch kar Aap ko Aap ki walida majida ke supurd kiya to unhon ne daryaaft kiya ke HALIMA ! tum tu badi khwahish aur chaah ke sath mere Bacche ko Apne ghar le gayi thi phir is Qadar jald wapas le Aane ki wajah kiya hai ? Jab Hazrat HALIMA ne shikam chaak karne ka waqiya bayaan kiya aur Aaseb ka shubah zahir kiya to Hazrat BiBi Aamina ne farmaya ke har giz nahi , Khuda ki Qasam Mere nor e nazar par hargiz hargiz kabhi bhi kisi jin ya shaitaan ka Amal dakhal nahi ho sakta . Mere Bete ki badi shaan hai . phir Ayyaam e Hamal aur waqt e wiladat ke hairat Angez waqiyaat suna kar Hazrat HALIMA ko mutmain kar diya aur Hazrat HALIMA Aap ko Aap ki walida majida ke supurd kar ke Apne gao wapas chail gayei .aur Aap Apni walida majida ki Aaghosh me tarbiyat pane lage .

[SIRATUL-MUSTAFA]
SHAQQ-E-SADR KITNI MARTABA HUA
******************************

Hazrat Maulana shah Abdul Azia Muhaddis Dehalwi Rehmatullah Alaih ne sorah”لم نشر ح ا”ki Tafseer me tehreer farmaya hai ke 4 martaba Aap ka Muqaddas seena chaak kiya gaya aur us main Noor o Hikmat ka khazeena bhara gaya .

Pehli martaba jab Aap Hazrat HALIMA ke ghar the jis ka zikr ho chuka us ki hikmat ye thi ke Huzoor sallAllahu ta’ala Alaihi wasallam un waswaso aur khayalaat se mehfooz rahe jin me Bacche Mubtala ho kar khel kood aur shararato ki taraf mail ho jate hai . Dusri baar 10 baras ki umr me hua take jawaani ki pur Aashob shahwaton ke khatraat se Aap be khauf ho jaye .Tisri baar Ghaar e Hira me Shaqq e Sadr hua . Aur Aap ke Qalb me Noor e Sakina bhar diya gaya take Aap wahi e Ilahi ke Azeem aur garaabn baar bojh ko bardaasht kar sake . Chauthi martaba shabe Meraj me Aap ka Mubarak seena chaak kar ke Noor o Hikmat ke khazaano se Mamoor kiya gaya take Aap ke Qalbe Mubarak me itni wus,at aur salahiyat paida ho jaye ke Aap Deedaar e Ilahi ki Tajalliyo , aur Kalaam e Rabbani ki Haibaton aur Azmaton ke Muta,hammil ho saken.
[SIRATUL-MUSTAFA]

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm