Islamic Blog

Shirk Fis-Sifaat
Ka Galat Mafhum Paish Karke
Musalmano Ko Gumraah Karney Ki
Koshish Karty Hain.
Aayiye !
Qura’an-e-Kareem Se Aqaaid-e-Islamiya
Jaanty Hai.
-|Shirk Fis Sifaat or Qura’an Shareef|-
[1] ALLAH TA’ALA Rauf or Raheem
[Baqarah 143]
Huzoor SALLALLAHU ALAYHI
WASALLAM Bhi Rauf or Raheem
[Touba 128]
[2] Madadgaar Sirf ALLAH TA’ALA
[Muhammad 11]
Jibrael Alayhissalam aur AuliyaAllah
Bhi Madadgar
[Tehreem 04]
[3] ALLAH TA’ALA Jaan Ko Mout
Deta Hai
[Zumr 42]
Mout Deta Hy Mout Ka Farishta
[Sajda 11]
[4] ALLAH TA’ALA Sunta Dekhta Hai.
[Hajj 61]
Bande Bhi Sunte Dekhty Hain.
[Dahar 02]
[5] ilm-e-Gaib ALLAH TA’ALA Ke
Paas
[Namal 65]
Rasoolon Ko Bhi ilm e Gaib Hai.
[Jinn 26/27]
[6] ALLAH Azeez Hai
[Touba 40]
Rasool Azeez Hai
[Touba 128]
[7] Jisne Rasool ki Eta’at ki Usne
ALLAH TA’ALA Eta’at ki.
[Para-05, Rukooa-08]
Eta’at karo ALLAH TA’ALA ki Aur
Eta’at karo Rasool ki.
[Para-05,Rukooa-05]
Q:
Kya Qura’an Ne Rasool Alayhissalam
Ko ALLAH TA’ALA
Ka Shareek Bana Diya ?
A:
Nahi Kyun Ke ALLAH TA’ALA Zaati
Tour Par
Rauf,
Raheem,
Azeez Hai
Jab Ke Rasool Alayhissalam,
ALLAH TA’ALA Ki Ataa Se
Rauf o Raheem Hai.
Q:
Kya ALLAH TA’ALA Ke Elawa Kisi Ko
“Fariyad Sun’ne Wala”
“Sab Kuchh Deny Wala”
“Gareebon Ko Nawazny Wala”
“Mushkilen Hal Karny Wala”
“Khazany Bakhshny Wala”
Kehna SHIRK Hai ?
A:
Jee Nahi,
Kyun Ke
ALLAH TA’ALA Zaati Tour Par Sab
Kaam Karta Hai
Jabke
Makhlooq (Waliyon) Ko
ALLAH TA’ALA Ne Hi
Ghous,
Daata,
Gareeb Nawaz,
Mushkil Kusha,
Ganj Bakhsh
Aur Dastageer
Banaya Hai
Yahi Islam Ki Ta’leem
Aur Qura’an Se Saabit Hai.
Jesa Ke
Ibtidaa Me Aayaat Paish Ki Gayeen :
.
Meanings:
[1] RAUF =Meharbaan
.
[2]RAHEEM =Reham Karny Wala
.
[3] Sami =Sunne Wala
.
[4] Baseer =Dekhne Wala
Are
Maula Allah Ta’ala ko kehte hai
Aur Aalim ko Bhi Moulana !
.
Ye Sub Kuch Parhney Ke Baad Zara
Emaandari Se Sochen
Kya Ye Bhi ALLAH TA’ALA ki Sifaat
Nahi ?
.
Magar Phir isey Qura’an Shareef Ne
Insan Ki
Sifaat Bi Bataya
Pas Jahilo Ko Chaahye Ke
ALLAH TA’ALA Ki Zaat Se Ye Aqida
Rakhen
Ke
Wo Apni Sifaat Ka Mazhar Apne
Bando Ko Apne Fazal Se Banata Hey
Aur Jise Jitna Zyada Chaahe Ata Kar
Sakta Hai.
Agar ALLAH TA’ALA
Madadgaar,
Mout Dene Wala,
Gaib
Ka Janne Wala Hai
Aur
Qura’an Ke Mutabiq Iski Makhlooq
Me
Bhi Ye Sifaat Hen
To Ye Shirk Nahi
Huaa
Kyun ke
ALLAH TA’ALA Ki Sifaat Zaati
Jabke Makhlooq Ki Sifaat
Ataayi (Granted) Hen
Aur Jahan Zaati Aur Ataayi Ka Faraq
Aajaye
Wahan SHiRK Ka Hukum Nahi
Lagta..
Q :
Hidayet Koun Deta Hai ?
A:
Hamara Emaan Hai K ALLAH TA’ALA
Ki
Marzi ke Khilaf Nabi SALLALLAHU
ALAYHI WASALLAM Hidayat Nahi
Karte Magar
ALLAH TA’ALA Ki Ataa Se Nabi
SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM
Heedayet
Karte Hen :
Tarjuma :
“Aur Tum Aye Mehbub Hidayat
Karte Ho Seedhe Raaste Ki”
[AlShura Ayat#52]
.
Rab Ne Huzoor Alayhissalam Ko
HAADI Bana Kar
Bheja Aur HAADI Aapka Sifaati
Name Bhi Hai.
QURA’AN-E-PAAK :
.
“ALLAH TA’ALA Aur Us KE Rasool
Dono
Dene Wale (Daata) Hai.”
[AL-TOUBA>10/59]
.
Mere Aaqa Detey Hai
Jholi Sab Ki Bhartey Hain
Mere Kareem se gar Qatra kisi ne
maanga
Dariya baha diye hai Durbe caha diye
hai.
.
.
QURA’AN E KAREEM:
.
ALLAH TA’ALA Bhi Wali Hai Aur Us Ka
Rasool Aur Emaan Waley Bhi.
[AL-MAiDA>6/55]
.
Shirk, Bidd’at Ki Ratt Lagane Waley
Gour o Fikar Karen
Allah Azzavajal ke Rasool
SALLALAHU ALYHI WASALLAM e
baare Khud Allah Azzavajlla Farmata
hai : “Ye Nabi Unko Kitaab aur
Hiqmat ka ilm Ata karte hai.”
[Soorae Barah, Aayat-151]
Kya ye Madad nahi ?
Kitab aur Hiqmat ka ilm insaan ki
duniya aur Aakhirat dono ke liye
Mahan Madad hai. Kya ise bhi Shirk
kahonge ?
Qura’an to kehta hai ke Rasool
SALLALLHU ALAYHI WASALLAM
Dete hai
Aur tum unse Mangne ko Shirk
Samazte ho ?!
Tumhaare Aqaaid ka Mazhab
hargheez islam nahi !
Is liye samjho aur tumhare galat
Aqaaid se Taubah kar tumhari aur
tumhari Aane waali Nasal ki Aakhirat
ko Bacha lo.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)