Islamic Blog

Ahliya/Biwi/Wife/Spouse ke Sath Shohar(Husband) Ka Rawayya aur Bartao Kesa Hona Chahiye (husband wife relationship in islam) ?

Jab Aap Nikah kar ke kisi Ladki ko apne Ghar laate hain to wo Aap ki khatir apne Maa, Baap aur Bhai ko chod Aati hai. Ab aap ka Farz banta hai ke aap apni Ahliya ko Maa, Baap, aur Bhaiyyon ki kami kabhi Mahsoos na hone den.
Aap ka hamesha Apni Ahliya (Wife) ke sath bartao aur Mua’mla:
✔ Baap ki tarah Shafqat o Maherbani wala
✔ Maa ki tarah Hamdardi, Ghamgusari aur Afu darguzar wala
✔ Aur Bhai ki tarah narm khuyi, karam Nawazi aur Narm dili o bardasht wala Hona Chahiye.

Mehboob-E-Khuda Khatamun Nabiyyin Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya,“Tum Me Woh Behtar Hai Jo Apni Biwi Ke Sath Behtar Hai Aur Me Apni Biwiyo Ke Sath Tum Subse Jyada Behtar Hu”.
(Ibne Maja Jild 1, Safa 551, Hadees No 2047, Tirmizi Sharif Jild 1, Safa 595)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm