Islamic Blog

» Mahfum-e-Hadees: Hazrate Abdullah Ibne Abbas (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya –
“Mujhe Dozakh Dikhai Gayi, Maine Waha Aurato Ko Jyada Paya, Wajah Ye Hai Ki Woh Kufr Karti Hai”.
*Sahaba-e-Kiram Ne Arz Kiya – ‘Kya Wo Allah Ke Sath Kufr(Shirk) Karti Hai?’
*Rasool’Allah Ne Farmaya – ‘Nahi! Wo Shohar Ki Na-Shukri Karti Hai. Jo Ke Ek Tarah Ka Kufr Hai Aur Ehsaan Nahi Manti, Agar Tu Kisi Aurat Se Umar Bhar Ehsaan Aur Neki Ka Sulook Kare Lekin 1 Baat Bhi Khilafe Tabiyat Ho Jaye Tou Jhath Se Keh Dengi – “Maine Tuzse Kabhi Aaram Aur Sukoon Nahi Paya”.
(Bukhari Sharif Jild 1, Baab 21, Hadees-28, Safa 109)

• Note: Beharhaal Iss Post ke Jarye kisi par bhi Zaati Taur Se Tanz Karna Humara Maksad Nahi.

♥ Insha’Allah-Ul-Azzez !!!
*Allah Rabbul Izzat Ummat-e-Muslima Ko Har Kism Ki Buri Khaslato se Bachaye ,…
*Aur Tamam Tar Aadab-o-Akhlaq me Husn-e-Sulukhi Ikhtiyar Karne ki Taufiq Ata Farmaye ,…

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm