Islamic Blog

HIQAYAT:
***********
Ek Din Hazrat Ali Karmallahu Ta’aala Wajhul Karim Ne Subha Ki Namaz Ke Baad Apne Khadim Se Farmaya Ki Fala Mohalle May Jao! Us Mohalle May Ek Masjid Hain Masjid Ke Pehlu May Ek Ghar Hain Usme Ek Aurat Aur Mard Bahoat Daer Se Lad Rahe Hain Unko Mere Paas Bula La! Aapka Khadim Us Pate Per Pahucha to Dekha Wakayi Ek Mard Aur Ek Aurat Ba-Ham Takraar Ker Rahe Hain! Gulam Ne Kaha Chalo Tumeh Hazrat Ali Bula Rahe Hain! Yeh Dono Ke Dono Hazrat Ali Ki Khidmat May Haazir Hue! Aapne Farmaya, Aaj Saari Raat Tum Dono Ne Ladte Hue Gujaari! Mard Ne Arz Kiya, Huzoor! Maine Is Aurat Se Nikah Kiya Tha Magar Jis Waqt Yeh Aurat Mere Saamne Aayi Isse Sakht Nafrat Paida Hogayi Hain! Agar Mujhe Takat Hoti To Isi Waqt Isko Nikaal Deta! Is Aurat Ne Mujhe Aisa Karte Dekhker Mujhse Ladna Zhagadna Shuru Kerdiya! Hazrat Ali Ne Tamaam Haazireen-A-Majlis Ko Ruksat Kerdiya! Aurat Se Yeh Farmaya, Ki Jo Baat Hum Puchege Sach-Sach Jawab Dena! Aye Aurat! Tumahra Naam Yeh Hain! Tere Baap Ka Naam Yeh Hain! Aurat Ne Kaha Ki Thik Hain! Farmaya, Ki Raat Tu Apne Ghar Se Baaher Nikli Thi! Tere Chacha-Jaat Bhai Ne Tujhe Pakad Liya, Tu Apne Chacha-Jaat Bhai Se Haamila Hogayi! Muddat Tak Tu Aur Teri Maa Ne Is Hamal Ko Chupaye Rakha, Jab Tere Dard Hua To Teri Walida Tujhko Kisi Dusri Jagah Legayi! Wahan Tera Ladka Paida Hua, Tune Us Bacche Ko Godadi May Lapetker Makaan Se Baaher Rakh Diya! Ittefaaq Se Ek Kuthta Us Bacche Ke Paas Aaya! Teri Maa Ne Us Kuthte Ko Patther Maara Wo Patther Us Bacche Ko Ja Laga! Bacche Ka Sir Fatgaya Teri Maa Ne Dupatta Pakadker Bacche Ke Sir Per Bandha! Fir Wahan Se Tum Chale Gaye! Iske Baad Fir Tumeh Us Bacche Ki Kuch Khaber Na Rahi! Kya Yeh Wakiya Thik Hain? Aurat Ne Hairaan Hoker Kaha, Ya Hazrat! Bilkul Thik Hain! Iske Baad Hazrat Ali Ne Us Mard Se Kaha Ki, Aye Mard! Tu Apna Sir Kholker Dikha De! Mard Ne Sir Khola To Us Zakhm Ka Nishaan Maujudh Tha! Farmaya, Ki Aye Aurat! Yeh Tera Khawindh Nahi Hain Balki Tera Beta Hain! Haq-Ta’aala Ne Tujhe Dusri Kism Ke Haraam Se Bachaya! Ab Tu Apne Bete Ko Le Ja!

(Shawahidul-Nubuwwa Pg-161)

************************
SABAK:-
*********
Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sadke May Aapke Gulamon May Bhi Ilm Is Qadr Tha Ki Muddaton Pehle Ki Chupi Hui Raaz Wa Bheadh Ki Baatain Wo Jaan Jate The, Fir Khud Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Se Koi Baat Kaise Chipi Reh Sakti Hain?
***********************

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm