Islamic Blog

HIQAYAT:-
*********
Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Jis Raat Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIhI-WASALLAM Ke Sath Hijrat Farmaker Tashrif Le Chale To Is Khayaal Se Ki Na Malum Raaste May Kya Zarurat Dar-Pesh Ho! Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Bhi Sath Hain, Isliye Jo Kuch Bhi Maal Aapke Paas Maujudh Tha Jiski Mikdaar 5000 Dirham Thi Wo Sab Sath Le Liya!
Hazrat Siddiq-A-Akbar Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ke Waalid Abu Kahafa Nabina Hogaye The! Us Waqt Tak Musalman Nahi Hue The! Uneh Jab Pata Chala Ki Abu-Bakr Raat Ko Mohammad SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Sath Macce Se Chala Gaya Hain! Maal Bhi Saara Legaya Hain To Potiyon Ke Paas Tasalli Keliye Aaye! Kehne Lage, Ki Meri Betiyon Abu-Bakr Ne Bada Sitam Kiya Khud Bhi Chala Gaya, Maal Bhi Saara Legaya!
Hazrat Aasma Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Uthi Aur Choti-Choti Kankariyan Ek Thaili May Bharker Boli, Dadajaan Aap Fikr Na Kijiye Yeh Dekhiye Saara Maal To Wo Chhod Gaye Hain! Yeh Kehker Kankariyan Se Bhari Thaili Aage Kerdi! Abu Kahafa Ne Use Tatola To Samajhe Ki Us Thaili May Dirham Bhare Hain! Mutmayin Hogaye Aur Bole, Accha Hua Ki Maal Wo Nahi Legaya!

(Musnad Ahmed, Jild-5, Pg-350)

********************************
SABAK:-
********
Sahaba-A-Kiraam Ki Bacchiyon May Bhi Khuda Aur Rasool Ki Mohabbat Kut-Kut Ke Bhari Hui Thi! Khuda Aur Rasool Ke Muqable May Wo Maal-A-Duniya Ki Kuch Parwah Na Karti Thi!

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm