Islamic Blog

Hazrat Habeeb Ajmi bahot hi zabardast Auliya me se huye hain,

shuru mein bahot maaldaar aur daulatmand the, lekin…. sood-khor (yaani byaaj-khor) the,

har din Qarzdaro ke paas wasuli (collection) karne jaate, aur jab tak wasool na kar lete usey na chorte,

ek din aap kisi maqruz ke ghar gaye, lekin wo ghar par nahi tha,

uski biwi ne kaha ki “us ke paas qarza ada karne ke liye raqam maujood nahi hai, albatta ek bakri zabah ki thi, uski gardan maujood hai, jo ham ne aaj pakaayi hai”

lekin aap us aurat se bakri ka gosht zabardasti le aaye aur ghar pahunch kar biwi se kaha “ye sood me mili hai, isey pakaa lo”

biwi ne kaha “Aata aur lakdi bhi khatam hai, uska bhi intezam kar do”

aap dusre Qarzdaaro ke paas gaye aur ye cheezein bhi sood me le aaye,

jab khana taiyaar ho gaya to kisi sawaali ne aawaz di “bhooka hu, kuch khaane ko do”

aap ne andar se hi usey jhidak diya aur saayel chala gaya,

jab aap ki biwi ne haandi se saalan nikaalna chaaha to dekha wo khoon hi khoon hai,

biwi ne hairaan ho kar shohar ki taraf dekha aur kaha “apni sharaaraton aur kanjusi ka nateeja dekh lo”

Hazrat Habeeb Ajmi ne ye maajra dekha hairat-zadaa reh gaye,

is waqeya ne aap ki zindegi me inqelaab laa diya,

usi waqt apni pichli galtiyo se tauba ki,

ek roz baahar nikle , raaste mein bachche khel rahe the,

bachchon ne unko dekh kar chillana shuru kar diya
“hat jaao… hat jaao… Habeeb soodkhor aa raha hai, ham par is ki gard (dhool) bhi pad gayi to ham bhi is jaise ho jayenge”

ye suna to tadap uthey.. nidaamat se sar jhuka liya, aur kehne lage “Ya Allah ! bachchon tak par tune mera haal zaahir farma diya”

fir aap, Hazrat Hasan Basri ki khidmat mein haazir ho kar tauba ki, aur sab Qarzdaaro ka qarza maaf kar diya, aur apna saara maal-o-asbaab Allah ki raah me de diya.. aur ibaadat wa zikr-e-elaahi me lag gaye, aur din ko roza aur raat me ibaadat karne lage…

kuch arsaa baad ek din fir unhi ladkon ke paas se guzre, to un ladko ne aapas mein kaha “khaamosh ho jao, Habeeb Aabid jaate hain” {Aabid means ibaadat karne wala}

ye sun kar aap rone lage aur kaha “Aye Allah ! ye sab teri taraf se hai”

jab is tarha ibaadat karte ek muddat ho gayi to ek roz biwi ne shikaayat ki “zaruriyaat kaise poori ki jaaye? ”

aap be biwi se farmaya “Achcha ! kaam par jaata hu, mazdoori se jo milega le aaunga”

is tarha aap din bhar ghar se bahar reh kar ibaadat karte aur shaam ko ghar waapas aate,

biwi unko khaali haath dekhti to kehti “ye kya maamla hai? ”

aap farmate ki “main kaam kar raha hu, jis ka kaam kar raha hu wo bahot sakhee hai, kehta hai fikr na karo waqt aane par khud hi mazdoori de diya karunga, lehaza mujhe mazdoori ka taqaaza karte huye sharm aati hai, wo kehta hai har daswe din mazdoori diya karunga”

is tarha biwi ne 10 din tak sabr kiya…

jab aap daswe roz bhi shaam ko khaali haath ghar wapas jaane lage to raaste mein aap ko khayal aaya ki ab biwi ko kya jawab dunga….

inhi sab fikr me ghar pahunche.. to ajeeb maajra dekha.. badhiya badhiya khaane taiyaar rakhe hain..

biwi aap ko dekhte hi bol uthi “ye kis nek-bakht ka kaam kar rahe ho jis ne din raat ki mazdoori is tarha ki bheji hai aur 3000 dirham naqad bhi bheje hain, aur ye bhi kehla bheja hai ki “kaam aur mehnat se karoge to mazdoori aur zyada dunga” ”

ye dekh kar aapki aankho se aansu jaari ho gaye,

khayaal aaya ki Allah ne ek gunahgaar bande ki 10 din ki ibaadat ka ye silaa diya, agar aur zyada achche se ibaadat karu to na jaane kya kuch de, ye khayaal aate hi duniya se bilkul alag ho gaye, aur aisi ibaadatein ki, ke israar-e-elaahi se pardey uth gaye, Allah ki inaayato ka nuzool shuru ho gaya, aur aap ko Mustajaab-ud-Daawaat ka darja mil gaya..
(jis ki har dua qubul hoti hai us ko Mustajaab-ud, Daawaat kehte hain)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm