Khud-Kusi (Suicide) Karne Wala Sayad Ye Samjhta Hai kihamari Jaan
Chhot Jayegi, Halaki Is se Jaan Chhutne Ki Bajayen
Narazgi-e-Rabbul-Izzat Azzawajal ki Surat Me Nihayat Buri Tarah Fass
Jati hain.
Khuda Ki Kasam ! Suicide ka Azab Bardast Nahi Ho Sakega.
Hadees-e-Paak:
Jo Sakhs Jis Chiz Ke Saath KHUD-KUSI Karega Woh Jahannam Ki Aag Mein
Usi Chiz Ke Sath Azaab Diya Jayega.
[ SAHIH BUKHARI SARIF RAKMUL-HADEES: 6652 JILD:4 SAFA:289 Bairut ]
Hazrate Saiyaduna Sabit Bin Jahhak RA se Marvi Hai Ke Hazur
{Sallallahu Alayhi Wassallam} Ne Farmaya:
Jisne Lohe Ke hathiyar Ke Saath KHUS-KUSI ki to Use Jahannam Ki Aag
Mein Usi Hathiyar Se Sakht AZAAB Diya Jayega.
[ SAHIH BUKHARI JILD:1 SAFA:459 HADEES No. 1363 Bairut ]
Hadees-e-Paak:
Jisne Apna Gala Ghota To Woh Jahannam Ki AAG Mein Apna Gala Ghot’ta
Rahega, Aur Jisne Khud ko Nezaa Mara Woh Jahannam Ki Aag Mein khudko
Nezaa Marta Rahega.
[ AL-AHSAB BITTARTIB SAHIH IBNE HIBBAN JILD:7 SAFA:590 HADEES No. 5955 Bairut ]
It was narrated from Thaabit ibn al-Dahhaak (may Allaah be pleased
with him) that the Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah
be upon him) said:
“Whoever kills himself with something inthis world will be punished
with it on the Day of Resurrection.”
[Narrated by al-Bukhaari, 5700; Muslim, 110.]
╠ •HADEES• ╣
Badaa Sawaab Badi Balaaon (BADI MUSIBAT) Ke Saath hai.
<SUNAN IBNE MAJAA JILD:4 SAFA:374 HADEES:4031 Bairut>
- मिसवाक के फायदे | मिस्वाक | Miswak Benefits - 9th April 2021
- BANGALORE RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021
- HYDERABAD RAMADAN TIMING 2021 - 8th April 2021