∗ Maa Ki Be-Karaari …..
» Hiqayat : Ek Sipahi Tha Fauj Ka Jiska Naam Subkatgin Tha! Ghar Me Bahoat Tangi Thi, Uske Paas Ek Ghoda Tha Jisper Sawaar Hoker Yeh Kabhi-Kabhi Shikaar Khelne Chala Jata! Shikaar Miljata Toh
Ghar Me Kuch Khana-Pina Hojata Tha! Na Milata Toh Ghar Me Faaka Hota! Ek Baar Yeh Shikaar Ki Niyat Se Ja Raha Tha Ki Isne Ek Heerni Ko Dekha Jiske Sath Chotasa Baccha Tha! Usne Apna Ghoda Jo Uske Piche Daudaya Toh Hirni Toh
Bhaag Gayi Magar Chhota Baccha Na Bhaag Saka Toh Isne Uss Bacche Ko Pakad Liya! Jab Maa Ne Dekha Ki Mere Bacche Ko Iss Aadmi Ne Pakad Liya, Toh Bhaagti Hui Heerni Fir Wapas Aagayi Aur
Usne Iske Karib Aaker Apni Iss Be-Karaari Ka Izhaar Karna Shuru Kerdiya! Aasmaan Ki Taraf Mooh Uthati Thi Aur Dard Bhari Awaaz Nikaalti Thi! Yeh Rahem Dil Insan
Tha Samajh Gaya Ki Yeh Maa Be-Karaar Hain, Ki Mera Beta Iss Shikaari Ke Hath Me Chala Gaya! Lihaza Isney Uske Be-Karaari Ko Dekhte Hue Uske Bacche Ko Chhod Diya! Wo Maa Apne Bacche Ko Lekar Chali Gayi! Yeh Wapas Aaya, Raat Ko Soya Toh
Khwab Me Usko Nabi-e-Kareem
(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Dedaar Nasib Hua! Huzoor (Sallallahu Alaihay
Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ki, “Tune Ek Maa Ki Be-Karaari Ko Dekhker Usper Reham Khaya! Yeh Tera Amal Allah Ko Itna Pasand Aaya Ki ALLAH Ta’ala Tujhe Duniya
Ka Taaj Ata Farmayega Aur Tune Uska Beta Wapas Kiya Uske Badle ALLAH Ta’aala Tujhe Beta Ata Farmayega”, Lihaza Uske Yahan Beta Hua Jiska Naam Sultan Mehmood Gaznawi Ghori Rakha Gaya Jo Purey Hindustan Ka Fateh Bana Aur ALLAH Rabbul Izzat Ne Iss Garib Ko Ek Baadshah Ka Baap Ban’ne Ki Taufiq Ata
Farmayi! – (Sukoon-e-Khana, Page-220)
» Sabak – Agar Jaanwar Jaisi Maa Ki Be-Karaari Ka Khayaal Rakha Jaye Toh Insan Ko Duniya Ki Shahi Milti Hain! Yeh Naujawaan Bacche Aur Bacchiyan Yeh Baat Samazle Ki Agar Apni Maa Ki Be-Karaari Ke Dauraan Uske Sath Mohabbat Ka Muamla Karoge Toh ALLAH Ta’aala
Unhe Duniya Aur Deen Ki Baadshahi Ata Farmayega! ALLAH Ta’ala Hamari Kothayiyon Se Darguzar Farmayen Aur Hume Nekon-Kaari Aur Parhezgari Ki
Zindagi Ata Farmayen!
“Aameen Ya Rabbul Aalameen”
- Sultan Shamsuddin Altamas. - 25th October 2016
- Allah Ki Raah me Kharch. - 24th October 2016
- Aqeeda aur Niyat. - 22nd October 2016