Islamic Blog

HAMD-KE-LAYAK-HAI-YA-RAB-TERI-ZAAT, TU-HAI-KHALIK-AUR-RABBU-KAYENAT

SABKA MALIK AUR RAHEMANO-RAHEEM, KITNI-PYARI-HAI-TERI-HAR-EK-SHEEFAT.

Quran sharif ki sabse paheli paheli sur: sure:fateha hai. Yah to baar nazil hui. Ek baar makka sharif mai, dushri baar madina sharif mai. Iske bahut sare naam hai, unhi mai se ek naam ummul kitab bhi hai. Matlab yaha ki quran sharif ki talimaat ko allah paak ne isek sur: mai bayan farma diya hai. Isse jo samajhle, usse quran sharif ko samjhne mai badi asani ho jati hai. Sure:fateha namaz ki har-har rakat mai padna wajib hai. Ismai 7-ayete hai.

ALHAMDULILLAHI-RABBIL-AALMEEN. Sari ki sari tarife allah ke liye hai jo sare jahan ka palanhaar hai. Ussi ne sabko payeda kiya aur wahi sabki parwarish farmata hai. Wah bada rahim wa karim, rahem farmane wala hai, kisi par julm nahi farmata. Wah to apne bando par maa-baap se jayeda meherban hai. Isliye unhe tabahi se bachane ke liye apne pyare rasul ke wasile se ayese-ayese tawr-tarike aur usul bataye jin par amal karke inshan duniya aur akhirat mai surkhru ho shakta hai. Qayamat ke din ka malik bhi allah hai. Wahi sab ko unke aamal ki zaza-saza dega. Jinhone uske farman par amal kya hoga waha uski ne-amato ke hakdaar hoge aur nafarmani karne wale apne ki saza bhuktege. Bandaye momin apne rab ki kudrat aur uski ataao ka ikraar karte howe araz karta hai-aye allah! Chuki tu hi mera khalik, malik, palanhaar hai, isliye ham teri hi ebadad karte hai. Tu hi hamra mabud hai. Teri zaat hi ebadat karne ke layek hai. Tere siwa koi aur mabood nahi, isliye ham teri hi ebadad karte aur tujhse hi madad talab karte hai. Tu hi hamari sari jarorate puri farmane wala hai. Elahi! Tere  nabi ki badawlat hame tere bare main itni jankari hashil ho chuki hai, ham allah wa rasul par emaan lakar momin ho chuke hai,teri ibadat kar rahe hai, elahi! Tu hame is nek rashte par sabit qadam rakhna. Apne deen par kayam aur atal rahene ki taufik ata farmana. Tere pyare rasul ke deen par amal karne wale to tere mehebub-maqbul bande ho gaye. Hame bhi unhi ki tarah hak par qayam rakhna, apni ne-amato  se sarfaraz farmana. Hame gumraho, nafarmano, azab yafta logo se tawr-tariko se bacha.

Is surat mein rab ki tarif uski rabubiyat ka ikrar, uski hakimiyat ki gawahi aur uski aataao ka ikrar bhi hai. Hidayad par sabit qadam rahene ki dua, allah ke mehbub bando ki azamat ke shath-shath gumraho aur pichli ummato ke nafarmaho ki nafarmhiyon ka bayan bhi hai. Goya issi ek surat mai wah sara mazmun agaya jo alag-alag surato mai alag-alag makamat par, alag-alag andaz mai bayan hua hai.

KHUDA-KO-PA-NAHI-SAKTA-KHUDA- KI-ZAAT-KA-MUNKIR, NA-JAB-TAK-DIL-SE-NUKHSE-NA-TAMAMI-DUR-HO-JAYE,

KHUDA-WO-HAI-KI-JISKI-AZMATO-JABRUT-KE-AAGE, KHUD-INSAAN-SAJDA-KARNE-PAR-MAZBUR-HO-JAYE.

Source : digitalhadith

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)