✦ Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo
kyunki…..
————–
✦ Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai
Sahih Muslim, 1886
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam hamarey pass aaye aur farmaya main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko khatam kiya
Sahih Muslim, 1889
✦ Aao hum bhi surah ikhlas padhkar ye sawab kama lete hain
———–
✦ Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ
لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
✦ Al Quran : Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
Surah Al-ikhlas (112)
—————————-
✦ is post ko aage share karke aur ziyada se ziyada sawab kama lijiye – Jazakallahu khairan
- Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki - 14th June 2017
- Sajda e Tilawat ki dua - 14th June 2017
- Bewaon aur miskeenon ke kaam aaney wala - 14th June 2017